Poetry from heart ... For Every heart... For love in the Heart... For God in the Soul... For all Pains and sorrows.. For Memories .. of past we borrow.. Happiness we Feel.. And feelings we Deal..
Wednesday, 2 April 2014
Tuesday, 1 April 2014
Kya Haseen Khwab Dikhaya Tha....
Aaj Kya Haseen Jode Me Usko Uski Sakhiyo Ne Sajaya Tha...
Jese Aasma Ka Chand Khud Aaj Zamee Par Utar Aaya Tha...
Kya Noor Uske Chehre Se Ubhar Raha Tha Mere Yaaro...
Jese Sakhiyo Ne Milkar Use Aaj Jannat Ki Hoor Banaya Tha...
Dekh Ke Uska Andaaz Dushman Bhi Fidaa Ho Jaye...
Aesa Aaj Meri Jaan Ka Roop Singaar Nikhar Aaya Tha...
Kya Khub Saji Thi Laali Uski Kya Uska Wo Sabnami Chehra...
Jese Uska Wo Andaaz Husn - Ae - Qayamat Laaya Tha...
Dil Karta Tha Jakar Uske Karib Lipat Jau Uske Sang...
Par Sochu Ye Usse Pehle Hi Mere Dosto Ne Muje Uthaya Tha...
Kehne Lage Kaha Kho Gya Bethe Bethe Abe Pagal...
Kuch Na Kaha Mene Bas Me Halka Sa Muskuraya Tha...
Ha Haqiqat To Nahi Tha Par Kash Ye Sab Haqiqat Ho Jaye...
Aye Taqdeer Sukriya Ki Tune Bhi Kya Haseen Khwab Dikhaya Tha....