Monday, 20 January 2014

Khaas Ye Rishta



Khaas Ye Rishta Hai
Ehsaason Se Saja Hai

Iss Rishte Mein Koi Aur Kyun Aaye
Ye Rishta Mohobbat Kehlaaye

Har Janam Doongee Saath Tera
Par Aise naa Chodna Kabhi Haath Mera

Har Rishte Ki Apni Seema
Bhang Na Karna Iski Garima

Saath Nibhakar Saath Hai Mil Ta
Har Mushkil Hal Ho Jaaye ...
...bojh Kamm Ho Jata Dil Ka

Samay Lage To Pass Mein Aana
Pyar Se Jara Nasamjh Ko samjhana..

Duriyaan Sirf Darar Hai Laati
Fir Kaise koi Hal sujhaati

Kaisa Lagge Jab Sanam Chodde
Baat Baat Par Mukh Wo Modde


© Impressions

Mere Khaawb



Jeewan Ki raah Mein Tu Aise He Dard Naa Laya Hoga
Sabsse Bura Insaan Tune Mujh Mein Paya Hoga

Zamana Kaise Samjhta Mujhko
Jab Aks Naa Apna Samajh Aaya Tujhko

Teri Nazar se Duniya ne Shaayad Mujhko Dekha
Warna Aise Na koi Nasamajh Kehta

Kubool Kar Lena Aas Iss Dil Ki
Zindagi To Ek Baar Hai Milati

Phir Ye Tohfa Na Mujh Ko Dena
Badle Mein Chaahe Jaan Maang Lena

Iltejaah Iss liye Hai Taaki
Jeewan Bhar Ke Saath Ki Neev Hai Saaki

Judaai Mein Bitte Jabb Jeewan Aisa
Sur Taal Ka Fir Sangam Kaisa

Aaj Wo Kasame Yaad Hai Aayee
jo Thee humne Saath Mein Khaai

Paake Hastakshar Uss Par Jadde The
hum Dono Tabb saath Khade The

Mere Khaawb Pass Hain Tere 
Unko Padhna Bann Kar Mere.

© Impressions

Ek Rishta



Ek Rishta Hai Teri Den
Ussase Mila Rooh Ko Chaain

Kheele Kheele DO Phool Mile
Baat Karein Wo Nain Seele

Milkar Beej Unho ne Boya
Isme Unhone Saath  Ko Khoya

Upja usse Podha Pyara
Gul Khila Bahut He Nyara

Gul Ne dekhe Tyohaar Anek 
Socha ho Kaise Maa baap Ek

DO Phoolon ne Dekhe The Sapne
Gul Ko Rakhenge Saath Mein Apne

Gul Ke Saath Atkheli Karenge
Khushion Se Apna Ghar Bharenge

Gul Ke Haath Ko Thaame Raat Bhar
Phool Baitha Paas Uske Aankhein bhar

Jara Se Aahat Par Uth Jata
God Mein Le Usse Sukun Aata

Gul Ko God Pita Ki Bhaati
Duri naa Phoolon Ki Suhaati

Dur Takk Raah Taake Gul Ki Aakhein
Phulon Ko Dekh khile'n Ge Uski Baachein.

© Impressions