Wednesday, 22 January 2014

Nahi Deekhti



Ishq mein Padha Kalma 
...Khudaai Nahi Deekhti
Kissi Ko Kissi Mein 
... Khudai Nahi Deekhti

Khuda Ki Bandagi Mein
...Rubbai Nahi Deekhti
Kissi Ko Kissi Mein
... Rubbai Nahi Deekhti

Dilse Jo Aaye
... Achai Nahi Deekhti
Kissi Ko Kissi Mein
... Achai Nahi Deekhti

Pyar Or Mohobbat Mein
... Sachaai Nahi Deekhti
Kissi Ko Kissi Mein
... Sachai Nahi Deekhti

Betiyaan Shuru Se Hi HOti Hai Paraai
... Bahu Mein Beti Ki Parchai Nahi Deekhti
Kissi Ko Kissi Mein 
... Sachai Nahi Deekhti

Saawan Mein Sukhe Hue Dil ko
... Jhoothi Ki Ruswaayee Nahi Deekhti
Kissi Ko Kissi Mein
... Achai Nahi Deekhti

Tohmatt Lagaane Se Pehale Shaks Ko
... Izzat Apni Parai Nahi Deekhti
Kissi Ko Kissi Mein
... Sachai Nahi Deekhti

BeeyaBaan Dil ko Baagon Mein Gulshan
... Achee Koi Parchai Nahi Deekhti
Kissi Ko Kissi Mein
... Khudaai Nahi Deekhati

Rango Ko Loot Jeewan Kissi Se
... Burre Karmo Ki Kamai Nahi Deekhti
Kissi Ko Kissi Pe
... Tohmat Lagayyee Nahi Deekhti

Jaan Lete Hai Jo Khud Ko Masiha
... Un ko Khuda Ki Khudaai Nahi Deekhti
Kissi Ko
... Kissi Mein Achai Nahi Deekhti


© Impressions

Tum to mere sang ho nahi....

 

 

Tum to mere sang ho nahi....

isiliye aaj main tumhari yado se baate kar raha hu....

 

 

kasak dil ki mitaye kahan mit rahi hai....

aaj apne takiye ko bar bar baho mein bhar raha hu....

 

tumhara khayal aate hi lab muskura rahe hai....

aaine k saamne jake bewajah hi sanwar raha hu.....

 

tumhari agosh ki garmi mehsus hoti hai jis pal....

usi pal apne bistar pe main toot k bikhar raha hu....

 

jane ye kaisa lamha hai jo itna bechain kar raha hai....

dil mein umadte inn ehsaso se main kuch kuch darr raha hu....

 

janta nahi tha tumhari mohabbat itna diwana bana degi mujhe....

bebasi ke iss haal mein doob ke khud hi ubhar raha hu.....

 

meri jaan tum to mere sang ho nahi.....

isiliye aaj main tumhari yado se baate kar raha hu.........

 

Tuesday, 21 January 2014

Teri Bandagi



Teri Bandagi Meri Kamaai
Dil Mandir Jo Likhe Rubaai

Kya Pathar Kya Parvat Maula
Sabb Mein Dikhe Teri Parchai

Behta Jharna Tera Naad Sunae
Panchee Geet Tere Gun-Gunaae

Nanha Bacha Roop Hai Tera
Khuda Deekhe Tera Ussme Chehra

Keemati Jeewan Mujhko Bakhsha
Jeewan Raah Par Ki Tune Raksha

Bepanah Mohobbat Se Nawaza
Bandd Bandd Tera Karazdaar Khwaja

Jeewan Saathi Jo Tune Milaya
Khushiyon Ka Ussne Bichonna Bichaya

Raah-e-Jeewan Mein Tumko Naa bhulun
Har Tohfe Ko Tere Kheele Chehre Quboolun

Iss Jeewan Tujh Mein Ramm Jaun
Mukh Se Bass Tere Gunn Gaun

Preet Ko Tere Saachi Lubhaaye
Iss Rishate Par Kabhi Aanch Naa Aaye

© Impressions