Sunday, 2 February 2014

Hote-hote ek din tujhe pyaar ho hi jayega....

Hote-hote ek din tujhe pyaar ho hi jayega....

Bachna chaaho par Dil nisaar ho hi jayega....

 

Qabool chaahe aaj na kar muhabbat ki kashish....

Dekhna ek din tera bhi Dil beqarar ho hi jayega.....

 

Zinda hun ek tera hi Iqrar sunne ki khaatir....

Marne se pahale tujh par Iqkhtyar ho hi jayega.....

 

Maikhane jakar to sabhi nsheman ho hi jate hain....

Aankhon se Pila de jo tun khumaar ho hi jayega....

 

Tujhe chahna aur bhulna mere bus mein nahin hai jana....

Ibaadat karun unki kabhi to etbar ho hi jayega....

 

Khwahish hai meru un sang zindgi basar karne ki....

Umeed na chod kabhi to wo tera Yaar ho hi jayega.......

Ishq Mera Badnaam Mila



Kya maanga Tha Tujhse Maine
Jo Mujhko Ye Inaam Mila

Jhoothi Kehdee Mahobbat Meri
Ishq Ke Haathon Ishq Mera Badnaam Mila

Tere Rishate Ki Tu Jaane
Tujhe Rishta Mera Aam Mila

Maine Tera Saath Manga
Par Mujhko Antim Paigaam Mila

Maine Jisko Laakh Se Tola
Tune usko Khaak Sa Mola

Kya Mujhe Paigaam Mila
Ishq Mera Badnaam Mila

Rabb Ke Rishtey Sa Rishta Jana
Tujhko Maine Pehale Apna Mana

Ansulajhe Se Rishtey Mein
Mujhko Har Ilzaam Mila

Jaan Mujhko Kehane Waale
Abb Tujhse Naa Koi Geela

Khoob Tune Mere Dil Ko Jana
Khoob Tune Mujhe Apna Mana

Mere Dil Ko Jaanane Waale 
Tu bhi To Anjaan Mila

Maine Tujhse Ishq Kiya
Dilse Ye Rishta jiya

Rishton Ko Kya Jodegaa
Apna Rishta He Gumnaam Mila

Zindagi Ke Har Modd Par
Bass Kagaz Kalam Hee Saath Mila

Pyaar Ki Baatein Har Pal Katheen 
Gussa He Aasan Mila

Jeewan Ke Bhawar Mein Faskar
Pyar He Dekh Neelaam Mila

Sach Ki raah Par Chalane Ka
Dekh Khuda Inaam Mila

© Impressions

Saturday, 1 February 2014

Yeh Barsaat Ki Boondein Mujhse Aaj Kuch Kehti Hai...

 

Yeh Barsaat Ki Boondein Mujhse Aaj Kuch Kehti Hai...

Teri Yaad Mere Dil Mein Hardum Qaid Rehti Hai...

 

 

Tu Jahaa Bhi Rahe Mera Pyaar, Meri Duayen Saath Hai...

Main Jaanta Hoon Tadap-Tadap kar Tu Bhi Judai Sehti Hai...

 

Hum Milenge Ek Din Itna Yakeen hai Mujhe Uss Khuda Par...

Tum Maayus Naa Hona, Chaahe Taqdeer Kuch Bhi Kehti Hai...

 

Aaj Tez Hawaaon Se Maine Pucha Ek Sawaal To Jawaab Aaya...

Haan Maine Dekha Hai Barsaat mein Uskee Aankh Bhi Behti Hai....