Monday, 20 January 2014

Haath Mein Kaagaz



Haath Mein Kaagaz Kalam 
Hothon Par Na Koi Nazam

Ajab Si Tanhaai 
Kuch Na Deta Sunai

Rooh Ko Na Sukun
Mann Mein Kaisa junoon

Ajab Sa Sannata 
Kuch Bhi To Na Suhata

Kaunsa Waqt Chala 
Har Tyohaar Hai Chhalla

Rabb Tu Hi Dost Humara
Padh Le Tu Mann Mera....
....Karde Sab Bahara

Tu He To Sunata Aaya
Sukh ho Ya Dukh...
Tujhko He Saath Paaya

© Impressions

Teri rooh me mil jau ...

Teri rooh me mil jau aise jaise namak ho smandar mein...

Bas tera hi pyar smaya rahe hamesha mere andar mein...

 

Main tujhse kabhi kuchh mangne ki khatta na karu...

Tere lab haste rahe chahe main dunaya ka mazak hi banu...

 

Tu mujhe chhod bhi jaye to gum nahi mujhko...

Jism se nahi main teri rooh se pyar karu...

 

Mujhe na kabhi tere ankh me koi ansu nazar aaye...

Iske liye main sare zamane se akela hi ladu...

 

Na jane kon sa jadu tere kirdaar me hai...

Mai jab bhi janam lu to bas tera hi banu...

 

Tu shayad mujhe na samajh paye ke kitni mohabbat hai mujhme...

Aaj baitha de kachahri mai kagzo pe bhi apni jaan tere naam karu.....

Sunday, 19 January 2014

Ek Purani Dhun



Ek Sunai Di Puraani Dhun
Lagane Laggi Main Kuch Khwaab Bun

Kya Waqt Kya Samma Tha
Jeewan jeene Mein Dil Ramma Tha

Geet Sangeet Mein Saans Thi Basati
Khuli Aankh Sapno Me Raat Thi Katati

Khushi Naa Upar Aane Deti Gamm Ko
Jeenda Dili ..... Bado Ki Mohobbat Hee Aawaz Deti humko

Hassi Theetholi Mazaak The Karate
Mazzaz Kissi ke Se Na The Darate

Bann Titali Jabb Thi Udati
Kahan Kissi Ki Aawaz Thi Sunati

Shero Shayari ... Gazalon Ka Jamana
Kabhi Nachana Kabhi Geet Gun-Gunana

Uddati Titali Ka Mujhe Lubhana
Bhaware Ka Kaan Ke Pass Aake Darana

Kissi Chotti Baat Par Muh Banana
Fir Mazak Udana Keh Kahe Lagana

Sabki Preet Mein Dil Dhula Tha
Jeewan kitna Khula Khula Tha

Ek Janam Alag Alag Zamana
Na Dilon Mein Mohobbat Na Koi Tarana.

© Impressions