Tuesday, 4 March 2014

Woh Mujhe Yaad kare jis Pal

Woh Mujhe Yaad kare jis Pal,

Ussi Pal Main nazar aayon Usse...

 

Woh Roothe Jo Mujhse Kabhi,

Main Paas baithkar Manayon Usse....

 

Tum Bin, Main Jis Chaar Deewari Makaan mein rehta tha,

Tere Sang, Ab Kyon Naa, Ek Haseen Ghar Main Banayon Usse...

 

Woh Muskuraaye to Jhoom uthe Yeh Duniya meri,

Woh Roye to main Gale Lagayon Usse...

 

Ussi ke Karam ki Mohtaaz Hai yeh Zindagi,

Woh Dhale iss Ghazal Mein, To Main Gungunayon Usse....

 

Ajeeb Tarah ki Shart Lagate hai Woh, Kehte hai,

"Do Pal Ki Hi Sahi, par Meri Judai Seh kar to dekho"

 

kya kahun, Sach to yeh hai ke Woh Mujhme Basti hai.

Khud se juda hokar Main jee nahi sakta,

Yeh main Kaise Batlayon Usse....

 

 

 

 

No comments:

Post a Comment