Sunday 30 March 2014

usne waada kiya tha....

Humsafar Ki Tarha Zindagi kae Safar Mae...

Dene ka mera saath, usne waada kiya tha....

 

Rang jitnae bhi hai ess jahan mae maujood...

Bharne ka zindagi mae , usne waada kiya tha....

 

Tod kar ess zamane ke har bemani bandish...

Basanae ka mera aashiana, usne wada kiya tha....

 

Jankar wafa karnae par mili bewafae ka dard...

Mujhko apna bananae ka, usne waada kiya tha...

 

Jhalakta har ansoo mera kabar par uski...

Poochta hai har pal yae hi sawal unse....

 

Jab jana tha chood kar yu mujko akela...

To phir saath dena ka kyo waada kiya tha

Maa

 

Tu dur dur kyun rehti hai maa kyun pass mere nahi aati hai...

tu apna hath badha ab kyun nahi mere balon ko sehlati hai...

 

jab main parchai se darta tha tu aanchal mein chhupa leti thi...

roshandan se ped ke patto ki parchai aaj bhi mujhe darati hai...

 

teri mithi mithi lori sun sun kar hee mithi neend main sota tha...

bin teri lori ke ab to raat bhar neend bhi na dhang se aati hai...

 

jab bhi dil udas hota hai tere tasveer se baatein karta hoon...

tujhe sun-ne ko tarasta hoon par aawaz kahin se na aati hai...

 

tujhme meri dunia thi tujhse hee to milti sari khushian thi...

tere jaane k baad to dunia roj naya dard de khub rulati hai...

 

bhagwan ke ghar jakar maa tu kitni khudgarz hai ban gaii...

naa to mere pass aati hai na hi mujhe apne pass bulati hai....

Doston Zinda Aaj Bhi Kaheen To Koi Raanjha, Koi Heer Hai...

 

Har Kashtee Ke Naseeb Mein Saahil Nahi Hota...

Pyaar Aisa Bhi Hota Hai Jis Mein Kuch Haasil Nahi Hota...

 

Koi Bichar Gaya Koi Saath Raha, Sabki Apni Apni Taqdeer Hai...

Mohabbat kya Hai, Yeh To Apne Mehboob Ke Chehre Ki Tasveer Hai...

 

Kare Woh yaad Mujhe Apni har Ghazal Har Nazm Mein...

Mehsoos Hota hai Uskaa Likha Har Lafz Ab Meri Jageer Hai...

 

Jisse Chaah Rahe Hain, Usse Paa Bhi Naa Sake, Yeh Kaisi Mohabbat...

Mere Har Khwaab Mein To Woh Hai, Khwaabon Ki Yehi Taabeer Hai...

 

Usse Paane Ki Khwahish Hai Par Usse Khone Ka Darr Bhi...

Hoti Insaan Ke Haath Mein Humesha Majburiyon Ki Zanjeer Hai....

 

Woh Mohabbat Hi Kya Jisme Sirf Paana Hi sab kuch Ho...

Doston Zinda Aaj Bhi Kaheen To Koi Raanjha, Koi Heer Hai...

Teri yaad ka manzar bhi ajeeb hai...

 

Teri yaad ka manzar bhi ajeeb hai...

Dur ho kar bhi tu mere kitna kareeb hai...

 

Teri mohabbat to mil gyi isi me khush hu mai...

Tera milna na milna ye to sab naseeb hai...

 

Wo itrata hoga tujhe mujhse chhin kar...

Magar use kya pta jeet kar bhi har gya mera raqeeb hai...

 

Daulat ka kya aaj teri to kal kisi aur ki hogi...

Jiske pas pyar ki daulat nahi wo sabse bda gareeb hai....

 

 

 

Aaj Is Dubte Hue Suraj Ke Sath Sath

Yaad He Muje Wo Aakhri Shaam.. Apni Mahobbat Ki...

Tute Khwab Aur Reh Gayi Tamanna Adhuri Chahat Ki...

 

Ki Yaad He Muje Rote Hue Usne Mera Hath Thama Tha...

Aur Kar Rahi Thi Intezaar Wo Meri Aakhri Izazat Ki...

 

Najane Kyu Chahkar Bhi Hath Uska Me Chor Na Paaya...

Usne Rote Hue Mujse Fir Ek Baar Jane Ki Riwayat Ki...

 

Chor Diya Hath Mene Uska Aur Fer Liya Nigaaho Ko Apni...

Aur Karke Aankhe Band Dil Hi Dil Me Rab Se Shikayat Ki...

 

Le Liya Baahon Mein Usne Mujhe Fir Ek Baar Aur Kaha Mujse...

Yakeen Karna Mene Har Lamha Har Pal Bas Tumse Mahobbat Ki...

 

Main Ja Rahi Hu Chorkar Tumhe.. Ise Meri Bewafai Mat Samajna...

Mujse To Khud Meri Hi Taqdeer Ne Meri Jaan Bagawat Ki...

 

Dekh Rahe Ho Wo Dubta Hua Suraj.. Dekhlo Fir Ek Baar...

Aur Meri Nigaaho Ko Uthakar Usne Suraj Ki Aur Kifayat Ki...

 

Aur Kehne Lagi..

 

Malum Na Tha Mahobbat Mein Hamari Din Ek Ye Bhi Aayega...

Ki Har Khwab, Har Lamha Mahobbat Ka Chur Chur Ho Jayega...

 

Janti Hun Dunia Saari Bewafa Kahegi Mere Yaha Se Jane Ke Baad...

Par Yakeen Karna Tum Ye Dil Mera Ye Mahobbat Nibhaayega...

 

Bas Jate Jate Ek Hi Baat Kahungi Tumse Aye Mere Hamdam...

Ki Aaj Is Dubte Hue Suraj Ke Sath Sath..

Meri Khusiyo Ka Suraj Bhi Hamesa Ke Liye Dub Jaayega.....

Dekhle Tu Bhi Ek Nazar Meri Jaan...

Dekhle Tu Bhi Ek Nazar Meri Jaan...

Na Tujhse Apni Nigahein Hataaunga Main...

 

Abhi Na Karegi Humpe Agar Nazre Inaayat...

To Khwaabo Me Aakar Tujhe Sataaunga Main...

 

Teri Nazre Kaise Dil Pe Talwar Chala Rahi Hai...

Sher Likh Likh Kar Sabko Ab Bataaunga Main...

 

Ek Baar Tu Izaazat To De Tere Kareeb Aane Ka...

Fir Dekhna Tujhpe Kaise Mohabbat Lutaaunga Main...

 

Tu Mile Ya Na Mile Meri Kismet Ki Baat Hai...

Raah-E-Ishq Me Khud Ko Jarur Aajmaaunga Main...

 

Kar Diya Tujhpe Fida Ai Jaan Apna Dil...

Ke Ab Kisi Aur Se Kabhi Mohabbat Na Kar Paaunga Main.....

Friday 21 March 2014

Beti Ki vidayi

Kal tak tha jo ghar mera apna Aaj usse chhod ke kyun jaana hai....

Kaisi ye reet hai khuda ki Kyun itna bedard ye jamana hai....

 

Maa me kaise kahu ki meri halat kaisi hai....

janti hun me tu bhi andar se kaisi hai....

 

Mera aangan mere khilone aaj mujse dur hai....

Chah kar bhi papa aaj kitne majbhur hai....

 

Rokun kaise me bahte ashqo ko apne....

Sochti thi jo aaj shayad pure honge wo sapne....

 

Maa kyun mera dil ab ghabra raha hai....

Ye barat ye karwa mujhe kahan le ja raha hai....

 

Kyn betiya hi parayi hoti hai....

Kyn vidhayi par sari maaye yun roti hai....

 

De jawab tu meri har bat ka....

Ab tera mera saath hai sirf is raat ka....

 

Kal to me apne sasural chali jaungi....

Roungi khud b or tere dil ko bhi rulaungi....

 

Maa kuch na kah pati hai...

Bas roti apni ladli ko seene se apne lagati hai....

 

Kahkar aisa ki beti aaj se tera wo hi sansar hai....

Labo par aashirwad or aankho me tere liye pyar hai....

 

Saas ki ijjat karna kynki ab wo hi maa hai ab teri....

Tu khush rahe aabad rahe ye hai ab dua meri....

 

Jaate jaate beti maa baaap ko dua de jana tu....

Na aaye gam ka ek bhi badal har pal bas muskrana tu.....

 

Na sochna ki tera mayka tujhe dur hai....

Beti ka vidda hona sadiyon ka dastur hai....

 

Has de meri laado ab na nam kar palke apni....

 

 

Bas roti hui ma khud ko sambhal leti hai or beti se kahti hai...............

 

 

Khush rahe tu sada or us gar ko b mahkati rahe.....

Thursday 20 March 2014

Jab nahi rahunga main...

 

Jab nahi rahunga main, meri wafayein yaad karogi....

chhup chhup kar aansu bahaogi milne ki fariyad karogi....

 

teri ek muskrahat ki khatir lut jata tha ye deewana....

meri is deewangi ko yaad mere chale jaane ke baad karogi....

 

kabhi main bhi tha tera apna, kyun kar dia begana....

apno ko to bhul chuke ho aur kise tum ab yaad rakhogi....

 

mere dil se jee bhar ke khelkar kar dia barbad tumne....

ab aur jaane kis diwane ko meri tarah barbad karogi....

 

sun zra gaur se sara zamana tujhe bewafa keh rha hai....

bewafai ke daag se kaise sanam khud ko bedaag karogi....

 

mohabat ke sapne dikha meri dunia kr di tumne tabah....

lootkar meri dunia meri jaan kaise khud ko aabad karogi......

Wednesday 19 March 2014

missing u beta...


I am a dad who is too sad to say
My little girl have been taken away

This society wanted to take them far from me
Now in another country across the sea

No one would listen, no one would care
Now I suffer beyond despair

Time goes on, how fast they grow
Those two little eyes, I used to know

Teenage years beckon and threaten
Concerns have I with no one to listen

I am her Dad and no one can see
My little girl mean so much to me

All I can do is wait patiently
In the hope one day they will come back to me

A poem for my daughter...


What could I give you, to show that I care?
To open my heart and show what's in there.
How can I tell you with more than mere words
How I'm wrapped 'round your finger with invisible chords
And what can I show you that you haven't seen
That displays how I love you and all that you mean

If you run to the desert I would follow you there
Or climb the tall mountains to breathe the clear air
If you sailed cross the oceans to far away lands
To find worlds that you'll conquer
With your own two hands

Dream your best dreams, don't leave anything out
For your hopes and your dreams are what I am about
Look to the future to see where you will go
If you stand on my shoulders, you will get there...I know
If the road is dark, I'll set it alight
And I'll always keep watch for you all through the night

What would I tell you that would help you along
I'd tell you your gift is your heart and your song
I'd tell you again what I've told you before
As much as I've loved you there is One who loves you more
I would tell you to walk with His love as your guide
And trust in His voice as it echoes inside
What message I'd leave you, what lesson instill
It would be that I love you
And I always will

A Father Loves a Daughter


A father loves a daughter
Like no other love on earth.
From the day that he first meets her
Nothing can compare her worth.
Forever are they bonded
With a love that never fails.
For always he will hug her
And kiss goodnight with fairy tales.
He will love her and protect her
With strong arms just in case
But will also hug her tenderly
With a fatherly embrace.
Eskimo kisses touch her nose
With a giggle and a squeeze
And that sparkle in her little eyes
Could bring him to his knees.
What more could any father want
Than a daughter so sweet and pure
There's nothing in this world so rare
Of that he can be sure.
A fathers love is so unique
It cannot be replaced
He will always treasure times with her
And the memories embraced.

Tuesday 18 March 2014

Koi Deewana Kehta Hai... Dr Kumar Vishwas

Koi deewana kehta hai koi pagal samjhta hai....

magar dharti ki bechaini ko bas badal samjhta hain....

Main tujhse dur kaisa hu, tu mujhse dur kaisi hai....

Yeh tera dil samjhta hai, ya mera dil samjhta hai....

Ke mohobbat ek ehsaason ki paawan si kahaani hai....

kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hai...

Yahaan sab log kehte hain meri aakho mein aasu hain....

Jo tu samjhe toh moti hain jo na samjhe toh paani hain....

 

Samandar peer ka adhaar hai lekin ro nahi sakta....

Yeh aansu pyaar ke moti hai isko kho nahi sakta....

Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le....

Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta....

 

Bhraman koi kumudni par machal baitha toh hungama…

Jo apne dil mein koi khwaab pal baitha toh hungama…

Abhi tak doob kar sunte the sab kissa mohobbat ka…

Main kisse ko hakikat mein badal baitha toh hungama…

 

Mai jab bhi tez chalta hu, nazare chhoot jaate hain...

Koi jo roop dharta hu, to saanche toot jaate hain...

Mai rota hu to aakar log kandha thap-thapate hain.....

Main hasta hu to musjhse log aksar rooth jaate hain....

 

Mera apna tajurba hai, tumhe batla raha hu mai....

Koi lab chhu gaya tha tab, ke ab tak gaa raha hu mai....

Bichad kar tumse ab kaise jiya jaye bina tadpe....

Jo mai khud hi nahi samjha wahi samjha raha hu mai....

 

Kisi pathar mei moorat hai, koi pathar ki moorat hai...

Lo hum ne dekh li duniya, jo itni khubsurat hai...

Zamana apni samjhe par mujhe apni khabar ye hai...

Tujhe meri zarurat hai mujhe teri zarurat hai....

 

Bahut Bikhra Bahut Toota, Thapede Seh Nahi Paaya....

Hawaaon Ke Ishaaron Par, Magar Main Beh Nahi Paaya....

Adhoora AnSuna Hi Reh Gaya Yoon Pyaar Ka Kissa....

Kabhi Tum Sun Nahi Paaye, Kabhi Main Keh Nahin Paaya....

 

Main Uska Hun, Wo Is Ehsaas Se inkaar Karta Hai....

Bhari Mehfil Mein Bhi Ruswaa Har Baar Karta Hai....

Yakin Hai Saari Duniya Ko Khafa Hai Humse Woh Lekin....

Mujhe Maaloom Hai Phir Bhi Mujhi Se Pyaar Karta Hai....

 

Saji Hai Khushnuma Mehfil Sabhi Dildaar Bethe Hain....

Jidhar Dekho Udhar Hi Ishq Ke Bimar Bethe Hain....

Hanseeno Ki Adaaon Pe Sabhi Dil Haar Bethe Hain....

Hazaron Mar-Mite Aur Sainkron Tayyaar Bethe Hain........

 

 

©Dr Kumar Vishwas

http://www.kumarvishwas.com/

kumar@kumarvishwas.com

Saturday 15 March 2014

Ajaa kareeb itna ki in saanso ko mehka de...

 

Ajaa kareeb itna ki in saanso ko mehka de...

barso se tarasti hue in bahon ko saja de...

 

hai ishq ki farmaish na rok in kadmo ko...

tere jism ki khushboo ko meri rooh me basa de...

 

khelun teri zulfon se chumu tere honto ko...

kar pyar aj itna ki jo mere hosh uda de...

 

madhosh teri ankhen keh rahi hain bahut kuch...

aa paas mere itna ki har duri ko mita de...

 

yeh garm teri sanse takrane de sanso se...

sharm-o-haya ki aj tu har ek deewar gira de...

 

aja kareeb itna ki in saanso ko mehka de...

barson se tarasti hue in bahon ko saja de..

Thursday 13 March 2014

Ek nagar tha mera bhi mohabat mein....

Ek nagar tha mera bhi mohabat mein....

kisi k sang merra bhi guzara tha....

 

bepanah chahat thi hamare beech....

kayi baar usne mera naam mohabat se pukara tha....

 

samjhaya tha maine use ki vo hi meri zindagi hai....

chala gya mujhe chodke ye jante hue ki vo hi merra sahara tha....

 

chali gyi har aas meri uski ruksati k sath....

jeet hui thi nafrat bhari nigaho ki aur merra pyar haara tha....

 

Akhir ji hi liya zindagi ko bina uske bhi....

jo is jahan mein apno k baad mujhe sabse pyara tha.....

Wednesday 12 March 2014

Ek waqt ki baat hai

 

Ek waqt ki baat hai ek ladka tha banjara sa...

khule gagan me udta rahta wo panchhi awara sa...

 

na ghar ki thi chinta koi na apna thikana tha...

har dar par wo firta rahta tha mara mara sa...

 

mar peet awara gardi se use fursat nhi milti thi...

apne jaise awara dosto ke sar pe hi zindagi uski chalti thi...

 

magar jyada din chal na saka uska ye dhong dhtura...

ek ladki mili jiski ankho ka jadu chal gya us pe pura...

 

dhire dhire us ladki ko bhi bhaane laga tha ye awara...

ek baar mile phir milne lage dobara dobara...

 

dono ke dil me khyal ab shadi ka sajne laga tha...

magar zami asman kaise ek honge ye dar sa bhi lagne lga tha...

 

ladki ne apne baba ke aage apna sara kissa rakha...

magar baba ne ladke ko ek dam se nakara...

 

apni bezti sunkar ghar se nikal aaya bechara...

 

magar ladke ne har na mani mehnat karne laga wo...

mehanat kar ke din rat marne laga wo...

 

kuchh hi saalo me ladke ne apna alag hi mukam banaya...

mehanat ho to kuchh bhi hasil ho jayega duniya ko smjhaya...

 

apni khushi manata hua ladki ke ghar jab pahucha...

dekha waha jalsa laga tha mohal tha garma garmi ka...

 

waha mandap saja hua tha magar dulha dulhan nhi the...

ladka itna kuchh smjh na paya sahi se...

 

magar andar jate dang rahgya ladki lal jode me arthi pe padi thi...

uska baap pairo me tha maa uski sar pe hath fer rahi thi...

 

ladke ne jate hi gili ankho se ladki ka matha chuma...

swal bhare nazro ke sath baap tarf wo ghuma...

 

baap ne bataya ke kafi intzar ke baad hum iski shadi kra rahe the...

nahi karegi to achha na hoga kah kar dra rahe the...

 

taiyar bhi hogyi thi magar na jane jaan kio dedi...

jo baat thi kam se kam khul ke to hamse kahti...

 

tabhi ladki ki chhoti bahan ne chithi ladke ko di...

us chithi ne ladke se sari khani kah di...

 

likha tha mai ab aur intzar nhi kar sakti...

magar tumhari na hone pe mai hu mar sakti...

 

kisi aur ka hone se achha mai duniya se hi uth jau...

tumhari na hui to ab kisi ke hath na aau...

 

ladka ye padhte padhte achaank ladki ke upr gir gya tha...

jab dekha sabne to achank hi wo mar chuka tha...

 

shadi wale ghar se aaj do lashe uth rahi thi...

unki lashe unki sachi mohabbat ki dastan kah rahi thi...

 

mohabbat ne ek awara ki zindagi to badli thi...

magar iske badle me do masoom jane bhi li thi.....

 

 

 

Tuesday 11 March 2014

Nanhi Pari...

Mere gharwale mujhe samjha rahe the...

bas ek hi bat mere dimag mein baitha rahe the...

 

aane wali ek ladki hai...

jiske liye band hamare darwaje aur khidki hai...

 

uske aane se hamara vansh nahi badhega...

samaaj humein ochhi najar se dekhega...

 

wo jane kya kya din humein dikhlayegi...

wo ladki hum par bhar ban jayegi....

 

meri jiwan sangini na jane kin khayalo mein khoi thi...

shayad wo man hi man bahut roi thi...

 

mere dilo dimag par ek bojh sa ho raha tha...

bistar par pada main yeh sab soch rha tha...

 

aaj biwi ki muskan kahin kho gai thi...

wo thak har ke aaj jaldi so gai thi...

 

main bhi na jane kin khayalo mein kho gaya...

pata hi nahi chala kab so gaya...

 

tabhi achanak aasman se utar ek nanhi pari aai...

mujhe dekh wo muskrai....

 

bade pyar se apne nanhe hatho ko mere galo par phera aur kaha--

 

"papa main aapka hi ansh hoon, aur aapka hi vansh hoon...

main is dunia mein aana chahti hoon, aap sabko dekh muskrana chahti hoon...

 

mummy se lori sunna chahti hoon, aapki goud mein khelna chahti hoon...

maa ke hath ka niwala chahti hoon, aapki aungli tham chalna chahti hoon....

 

naye dost sathi main bhi banana chahti hoon...

aapke ghar aangan ko mehkana chahti hoon...

 

main na aap par kabhi bojh banugi...

apne pairo par khud khadi houngi...

 

main bhi bhaiya ki tarah aapka sahara banugi...

main na ladko se pichhe rahungi...

 

papa mujhe is dunia mein aane do... apna pyar dene do aapka pyar pane do....

 

tabhi meri aankh khul gai...

aur wo pari mujhse bahut dur chali gai...

 

mujhe tab ehsas hua kaisa mujhse dus sahas hua...

kaise maine yeh napaak baat sochi, kaise ban gaya mai chote samaaj ka rogi......

Saturday 8 March 2014

Mann Mera..


Jahaan Dekhate Hai In Ankhon Se Yun To..
Insaan Wahi Mann Ki Ankhon Se Padhe Jo,

Na Samjh Aaye Mujhe Ye Jamana..
Kahin Senkdo Diye..
... Kahin Ek Lau Na,

Jhooth Ka Parda Aankhon Pe Dala.. 
Burai Mein Na Kabhi Koi Sambhala,

Chalawe Mein Sukun Dhundhte Hain..
Tere Naam Par Insaan Lootate Hain,

Kar Jaate Hain Naam Badnaam Tera..
Ahankaar Haawi Sab Mera Mera,

Main Adna Insaan Prabhu Tera..
Sabh Kuch Tera .. Kuch Nahi Mera,

Tere Darr Ki Bhikharan Prabhu Main..
Maut Milaye Tujhse ..
.. Tere Naam Se Saju Main,

Pathar Mein Bhi To Tu Basse Hai..
Karde Pathar Dil Ko..
... Ye He Mujh Par Hasse Hai,

Parivaar Ki Reet Tunne Chalaai..
Pati Patni Pahiye..
...Rathwaahak Tu Sahai,

Teri Kripa Se Sansar Chalta Aaya..
Kabhi Insaan Khafa Hua..
.. Kabhi Kuch Na Bhaaya,

Har Insaan Ko Tu Hai Parakhta..
Sach Jhooth se Nikal Hai Nikharta,

Har Pal Mein Bass Tujhe Dhundhati Hun..
Ho Jaaun Fana Agar Tujhe Bhulati Hun,

Suvicharon Ka Darpan Bana Jeewan Tujhse..
Kusangat Na Dena .. Na Ho Bhool Mujhse,

Mahobbat Tujho Se Sikhi Hai Maine..
Ladkhadaaye Na Kadam..
..Mere Dil Ko Tu Jaane,

Jaaun Jo Dur TUjhse ..
Aawaz Laga Lena..
Deekha Kar Raah ..
Mujhe Pass Bula Lena,

Rokk Dena Galat Soch ko Bhi..
Mann Mera Malin Na Ho Kabhi.

--

© Impressions

Friday 7 March 2014

Hazaaron Khwahishen Aisi {A Thousand Desires Such}



Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle

Daray kyon mera qaatil? kya rahega us ki gardan par?
Voh khoon, jo chashm-e-tar se umr bhar yoon dam-ba-dam nikle

Nikalna khuld se aadam ka soonte aaye hain lekin
Bahot be-aabru hokar tere kooche se hum nikle

Bharam khul jaaye zaalim! teri qaamat ki daraazi ka
Agar is tarahe par pech-o-kham ka pech-o-kham nikle

Magar likhvaaye koi usko khat, to hum se likhvaaye
Hui subaha, aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle

Hui is daur mein mansoob mujh se baada aashaami
Phir aaya voh zamaana, jo jahaan mein jaam-e-jaam nikle


Hui jin se tavaqqa khastagi ki daad paane ki
Voh ham se bhi zyaada khasta e tegh e sitam nikle

Mohabbat mein nahin hai farq jeenay aur marnay ka
Usi ko dekh kar jeetay hain, jis kaafir pe dam nikle 


Zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam niklejo
Wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle


Khuda ke waaste parda na kaabe se uthaa zaalim
Kaheen aisa na ho yaan bhi wahi kaafir sanam nikle

Kahaan maikhane ka darwaaza Ghalib aur kahaan vaaiz
Par itna jaantay hain kal voh jaata tha ke ham nikle

Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle...


TRANSLATION-


Thousands of desires, each worth dying for...
many of them I have realized...yet I yearn for more...

Why should my killer (lover) be afraid? No one will hold her responsible
for the blood which will continuously flow through my eyes all my life

We have heard about the dismissal of Adam from Heaven,
With a more humiliation, I am leaving the street on which you live...

Oh tyrant, your true personality will be known to all
if the curls of my hair slip through my turban! 

But if someone wants to write her a letter, they can ask me,
every morning I leave my house with my pen on my ear. 

In that age, I turned to drinking (alcohol)
and then the time came when my entire world was occupied by alcohol

From whom I expected justice/praise for my weakness
turned out to be more injured with the same cruel sword

When in love, there is little difference between life and death
we live by looking at the infidel who we are willing to die for

Put some pressure on your heart to remove that cruel arrow,
for if the arrow comes out, so will your heart...and your life.

For god's sake, don't lift the cover off any secrets you tyrant
the infidel might turn out to be my lover!

The preacher and the bar's entrance are way apart
yet I saw him entering the bar as I was leaving!

thousands of desires, each worth dying for...
many of them I have realized...yet I yearn for more...

--

By: Ghalib Sahib

Tumhe bhulaya hi kab tha jo yaad karta...

Tumhe bhulaya hi kab tha jo yaad karta...

Dua me mangna chhoda hi kab tha jo fir se fariyad karta...

 

Tumne fir se jeene ki chah chhodi hi kaha thi mujhme...

Jeene ka sahara hi na raha to fir kiske liye khud ko abad karta...

 

Tumne hi koi kasar na chhodi mujhe marne me...

To aur koi kya aur mujhe barbad karta...

 

Tumhare baad zindagi me kisi ko aane hi na diya...

Phir kon mujhse apni mohabbat ka ikrar karta.....

Thursday 6 March 2014

Aankhon Mein Aise...



Kaise Bhi Aa Kahi Se TO Aaa
Intzaar Abb Aur Nahi..
.. Apne Khushbu Se Mujhe Mehaka,

Aankhon Mein Aise TUjhko Basana hai..
Band Kar Palkon Ko Fir Kabhi Nahi Uthana Hai,

Kuch Aise Teri Dhadkon Ko...
... Khud Mein Basana Hai
Apni Saanson Ko Dhadkon Se Tumhari Jodd Jana Hai,

Pyar Mein Dur Rehane Ki Hadde Na Paar Kar..
Aaja Abb To .. Choole... Mujhe Aur Na Bekarar Kar,

Bahut Chotti Hai Pyaar Ke Liye Zindagee..
Yun Viraan Na Tu Mera Sansaar Kar,

Bhalle He Tumhare Pass Pura Sansaar Hai..
Par Mera Sansaar to Bass Mera Pyar Hai.

--

© Impressions

Humsafar teri baahon mein guzre ye jindagi....

Humsafar teri baahon mein guzre ye jindagi....

koi khwahish nahin dil ki, tere pyar se badh kar....

 

teri judaai ka har aansu palkon mein chupaya hai maine....

aur koi hasrat nahin dil ki, tere deedar se badh kar....

 

tere labon ki muskurahat, tere chehre ka noor....

teri saadgi hai duniya ke har shringaar se badh kar....

 

meri duniya basti hai bas teri hi dhadkanon mein....

aietbaar nahin us rab ka bhi, tere aietbaar se badh kar.....

 

Aaj raat ki tanhaayi mein...

Aaj raat ki tanhaayi mein... aisi kuch baat thi...

aaj phir akele mein maine, khud se kuch baat ki...

 

aansu palkon se motiyon ki tarah behne lage,

dil ro raha tha chupke se, yadein humaare saath thi...

 

naam likh di tumhare maine apni ye chand saasein,

saunp di ye jindagi tumko... tumhari hi saugaat thi...

 

aaj tanhaayei mein roke, phir tumhari rah dekhi maine,

bahot yaad aayi tumhari, aaj sitaron se jagmag raat thi.....

Wednesday 5 March 2014

Saanson Ko Saanse ...



Mahobbat Tere Roop Kai
Kabhi Dur Kabhi Pass Rahi...

Bachpan Me Mahobbat Khwaab thi Kaise
Pariyaan Aur SHehjaade Jaise...

Fir Ek Sitara Aasmaan Ka
Lagta Humko Behaad Pyara...

Haath Pakadna..
Dil Ka Dhadakna...
Hawa Ka chalna..
Paani Ka Jharna...
Phool Ka Khilna..
Satrangi peengh Ka Milna...
Yehi Fir Hume Lagta Pyar Tha
Jeewan Mein Bachon Sa Khumaar Tha,

Mila Jabb JeewanSaathi Mujhko..
Tab Jana Mahobbat Tujhko,

Baahon Mein Koi Nasha Ho Jaise
Khabar Na Rahe Honth Choote Aise..
Romm Romm mein Basa Hai Meri
Khooshbu se Tann Mehake Teri,

Mahobbat Ka Kya Asar Hua Hai..
Rooh Ko Meri tunne Chua Hai,

Basanne Lagee Main tujh mein Aise..
Main Jaanu Tujh Bin Kaatun Kaise,

Seene Par Tere Sar Rakh Kar Sona..
Kheel Uthta Hai Dil Ka Kona Kona,

Haal Mere Dil  Ka Rabb Hee Jaane..
Mile Sukun Ab Kabb Jaane,

Bandagee Sa Sukoon Paya Tujhme..
Rabb Se Aage Basssi Mahobbat Mujhme,

Khud Khuda Shayad Sab Ko Sambhaal Na Pata..
Issiliye Sachi Mahobbat Hai Banata,

Saanson Ko Saanse Dhundh Rahee Hai..
Jism Yahan Aur Dil Kahin Hai.

--

© Impressions

Tuesday 4 March 2014

Woh Mujhe Yaad kare jis Pal

Woh Mujhe Yaad kare jis Pal,

Ussi Pal Main nazar aayon Usse...

 

Woh Roothe Jo Mujhse Kabhi,

Main Paas baithkar Manayon Usse....

 

Tum Bin, Main Jis Chaar Deewari Makaan mein rehta tha,

Tere Sang, Ab Kyon Naa, Ek Haseen Ghar Main Banayon Usse...

 

Woh Muskuraaye to Jhoom uthe Yeh Duniya meri,

Woh Roye to main Gale Lagayon Usse...

 

Ussi ke Karam ki Mohtaaz Hai yeh Zindagi,

Woh Dhale iss Ghazal Mein, To Main Gungunayon Usse....

 

Ajeeb Tarah ki Shart Lagate hai Woh, Kehte hai,

"Do Pal Ki Hi Sahi, par Meri Judai Seh kar to dekho"

 

kya kahun, Sach to yeh hai ke Woh Mujhme Basti hai.

Khud se juda hokar Main jee nahi sakta,

Yeh main Kaise Batlayon Usse....

 

 

 

 

Monday 3 March 2014

Sab Tumse...



Meri aankhon ka kaajal tumse
baalon ka gajra tumse

Meri Saanse ..
Meri Dhadkan..
Mera Jeewan...
Sab tumse.. Sab Tumko arpan..

Meri Baatein...
Meri Raatein..
Sab tumse...

Mera Hasna..
Mera Rona..
Sab Tumse...

Ye Chudee ki Khann Khann...
Ye Payal Ki Chann Chann...
Ye Moti Ye Mala.. 
Sab Tumse..

Ye Koyal Ki KUhu..
Puche Kahaan Tu..

Tujhse he Mera Sajna Sawrna...
Bin Tere Mujhko bol Kya Karna..

Bina Tere Sardi Ki Dhoop Na Achi..
Zindagi Bhi Ab Na Lagti Hai Sachi..

Khuda Se Bhi Abb Sawal Nahi Karti..
Yakeen Hai Baaki Nahi Preet Marti..

Jaagu ya Sou..
Yaadon Ko Piroyun..

Preet Ki Dorr Nahi Itni Kachi..
Mahobbat Hai Dil Se Or Hai Sachi..

Chaahe Tum Mujhko Gair Batana..
Tum Ho Tum Hi Se...
Mera Fasana..

Sachipreet Ka nata Juda Hai..
Jaane Kiss aur Jeewan Muda Hai..

Chahe ab Tum Mujhko Jaan Nahi Kehate..
Jaan Lo Ki Jaan Ke Labb Seele Hai Rehate..

Ye Fiza..
Ye Bahaar..
Ye Baarish Ki Fuhaar..
Sab Tumse..

Bhramh Hai Mera Ki..
Tujhe Pe Hai Ikhtiaaar Mera..
Mere Har Pyar Ke Bol Par...
Gussa Tha Tera..

Hum Ek Kadam Badhaate.. 
Tum Do Piche Jaate..
Dil Ke Tukdon ko Kuch Or Todd Jaate..

Dilo Ko Jodne Ki Samajh Dhundate hai..
Tere Kaabil Hone Ki Ramaz dhundate hai..
Jeene Ke Liye.. Sanam tumko Hum Dhundate hai..

---

© Impressions



Mere Sapno Par Bhi...


Mere Sapno Par Bhi...
Ab to Ikhtiyaar Tera Hai..
Tabhi to Mera hokar Bhi ...
Sapna ab Na Mera Hai...

Dikhta Aaj Kal..
Bass Ek Hee Chehra Hai..
Sapna Ho Ya Beti..
Swaroop Bass Tera Hai..

Kabhi Saath Hota Hai...
Kabhi Aas Hota Hai...
Door Chahe Kitna Bhi Ho...
Har Waqt Paas Hota Hai...

Har Waqt Tanha Hoti Hoon...
Dil Ke Tukdon Ko Sanjoti Hoon...
Judatte Nahi Jabb Wo...
Mai Apna Aapa Khoti Hoon...

Aansuon Se Vair Rakhna Padta Hai...
Har Pal Mujhse Chup Kar Kehta Hai...
Mera Har Aansu...
Beti Ki Aankhon Se Behata Hai...

Dil Ke Naaton Se ..
Ab Dil Katrata Hai...
Fir Bhi Ye Mujhko...
Tum Dono Se Jodde Jata Hai..


--

© Impressions

Haan Koi Mujhe Bhi Pyaar Karti Thi...

 

Dil-O-Jaan Mein Shumaar Karti Thi...

Haan Koi Mujhe Bhi Pyaar Karti Thi...

 

Chum Kar Honthon Ko Honthon Se...

Apni Mohabbat Ka Inzhaar Karti Thi...

 

Bitha Kar Samne Apne Woh Aksar...

Mujh Se Baatein Hazaar Karti Thi...

 

Har Lafz Par Mere Tha Yakeen Usse...

Khud Se Badh Kar Aitbaar Karti Thi...

 

Le Kar Haathon Mein Tasveer Meri...

Shaam Aur Sahar Intezaar Karti Thi...

 

Ehsaason Se Apne Meri Hayaat Ka...

Har Lamha Khush-Gawaar Karti Thi...

 

Arzoo Mein Meri Bhula Kar Duniya...

Woh Apni Zindagi Nisaar Karti Thi....

 

Chhod Gayi Mujh Ko Wohi Akela...

Had Se Bhi Jyada Jo Pyaar Karti Thi....

 

 

 

Sunday 2 March 2014

Kudiye Kismat Pudiye...



Kudiye kismat pudiye tenu ina pyar deyan 
Apne hisse di duniya main tethon var deyan...


Tu jammi tan mappe kehan parai hai dheeye 
Saureh ghar vich kehan begani jayin en dheeye...
Kehde ghar di aakhan tenu ki satkar deyan 
Apne hisse di duniya main tethon vaar deyan...


Ik dhobi layi sita maa nu ram visaar gaye 
Jooye vich daropadiye tenu pandav haar gaye... 
Ji karda apni kismat tenu haar deyan 
Apne hisse di duniya main tethon vaar deyan... 


Sat bhra ik mirza baki kisaakaran ne 
Kali saihban buri bana ti mard hazaran ne...
Kaviyan di iss galti nu main kiven sudhar deyan 
Apne hisse di duniya main tethon vaar deyan...


Marjane de andar vasdi kudiye jeundi reh,
Tu kamli main kamla tera geet likhaundi reh...
Sada suhagan kiven teri nazar utaar diyan 
Apne hisse di duniya main tethon vaar deyan...