Friday 21 March 2014

Beti Ki vidayi

Kal tak tha jo ghar mera apna Aaj usse chhod ke kyun jaana hai....

Kaisi ye reet hai khuda ki Kyun itna bedard ye jamana hai....

 

Maa me kaise kahu ki meri halat kaisi hai....

janti hun me tu bhi andar se kaisi hai....

 

Mera aangan mere khilone aaj mujse dur hai....

Chah kar bhi papa aaj kitne majbhur hai....

 

Rokun kaise me bahte ashqo ko apne....

Sochti thi jo aaj shayad pure honge wo sapne....

 

Maa kyun mera dil ab ghabra raha hai....

Ye barat ye karwa mujhe kahan le ja raha hai....

 

Kyn betiya hi parayi hoti hai....

Kyn vidhayi par sari maaye yun roti hai....

 

De jawab tu meri har bat ka....

Ab tera mera saath hai sirf is raat ka....

 

Kal to me apne sasural chali jaungi....

Roungi khud b or tere dil ko bhi rulaungi....

 

Maa kuch na kah pati hai...

Bas roti apni ladli ko seene se apne lagati hai....

 

Kahkar aisa ki beti aaj se tera wo hi sansar hai....

Labo par aashirwad or aankho me tere liye pyar hai....

 

Saas ki ijjat karna kynki ab wo hi maa hai ab teri....

Tu khush rahe aabad rahe ye hai ab dua meri....

 

Jaate jaate beti maa baaap ko dua de jana tu....

Na aaye gam ka ek bhi badal har pal bas muskrana tu.....

 

Na sochna ki tera mayka tujhe dur hai....

Beti ka vidda hona sadiyon ka dastur hai....

 

Has de meri laado ab na nam kar palke apni....

 

 

Bas roti hui ma khud ko sambhal leti hai or beti se kahti hai...............

 

 

Khush rahe tu sada or us gar ko b mahkati rahe.....

No comments:

Post a Comment