Sunday 30 March 2014

usne waada kiya tha....

Humsafar Ki Tarha Zindagi kae Safar Mae...

Dene ka mera saath, usne waada kiya tha....

 

Rang jitnae bhi hai ess jahan mae maujood...

Bharne ka zindagi mae , usne waada kiya tha....

 

Tod kar ess zamane ke har bemani bandish...

Basanae ka mera aashiana, usne wada kiya tha....

 

Jankar wafa karnae par mili bewafae ka dard...

Mujhko apna bananae ka, usne waada kiya tha...

 

Jhalakta har ansoo mera kabar par uski...

Poochta hai har pal yae hi sawal unse....

 

Jab jana tha chood kar yu mujko akela...

To phir saath dena ka kyo waada kiya tha

No comments:

Post a Comment