Wednesday, 22 January 2014

Chalo Kuch Aisa Karein



Chalo Kuch Aisa Karein
Ishq Ka Nagma Padhein
Kardein jo Sabke Dilo Par Jaadu
Aisa Koi Nuskha Ghadein

Chalo Dhundh Kar Laayein Koi Mantar
Naa Rahe Abb Kissi Mein Koi Antar
Pyar Ka Jaadu Tona Hum Kardein
Sabke jeewan mein Bahaar Hum Bhardein

Burai Se Kaise Peecha Chudwaayein
Laga Kar Mathe Par Chandan
Jeewan ki Badboo Bhagaayein
Chalo Chalein Asli Chandan hum Laayein

Taang Neembu Mirchi Sab Ke Dilon Mein
Mann Ki Kaalakh Bhardein Bilon Mein
Bana Uska Kaajal Sab Ko Lagaayein
Chalo Jaldi Se Aisa Karke Aayein

Dilon Mein Laggi Aag Par Barf hum daalein
Himalaya Hai Door Gar Ghar Mein hee Jamaalein
Kardein Sab Ko Thanda
Buraai Ko De Anda

Chalo Kuch Aisa Kar
Dharti ko Hum Kalah Se Bachalein
Jeewan Sambhaalein
Insaaniyat Nibhaalein.

© Impressions

No comments:

Post a Comment