Teri Shararton Ko Nihaarati Reh Jaati hun
Kaagaz Pe bhi Kahaan uker Paati Hun
Kabhi Tun Aise Muh Hai Banaati
Jaise Ki Tu Mujhse Hai Batiyaati
Jhoot Mooth Ka Roti hai Tu
Chupke Se God Mein Soti Hai Tu
Meri Pyaari Baatein Sunati
Jaise Koi Khaawb Tu Bunati
Beti Ko Jabb Hichaki Aati
Pehale To Wo Darr Jaati
Mujhse Jabb tu Baat Hai Karati
Mishari Si Aawaz Hai Bharati
Kilkaari Teri Pyaari Lagati
Aanad Se Ye Jeewan Bharati
Kyra Meri Sab Ko Bhaati
Sardi Mein Jaise Dhoop Lubhaati
Maa Ki Hoti Beti Saheli
Bin Beti hai Jeewan Paheli
Pariyon Ke Jaise Kaam Hai Karati
Nayee Khushi Ka AAgaz Hai Karati
Nanhe Nanhe Haath Ye Tere
Khub Lubhaate Mann Ko Mere
Aankhon Ki Ye Teri Masti
Inme Meri Jaan Hai Basti
Nanhi Jabb Tu Aankhein Matkaaye
Maa Teri Inn Mein Kho Jaaye
Kabhi Tu Mishthi.. Kabhi Tu Titli
Har Harkat Se raahat Milti
Saath tera Hai Itna Pyara
Khuda Ki Den Humari Kyra
Humesha Tu Muskuraati Rahe
Maa Ka Dil Aaj Ye Kahe
Nazar Kissi Ki Lage Na Tujhko
Tera Dukh bhi Rabb Dede Mujhko
© Impressions
No comments:
Post a Comment