Tuesday 14 January 2014

Afsano Ki Duniya



Jab Main Nanhi Bachi thi
Lagati Afsano ki Duniya Achi Thi
Kabhi Banati Pari Main Khud Ko
Kabhi Main Banati Panchi Thi
Jab Main Nanhi Bachi Thi

Jab Main Thodi Badi Hui
Uljhan Thodi Khadi Hui
Kahani Ek Nai Jud Gayee
Zindagi Meri Uss Taraf Mudd Gayee

Badalne Laga Tabb Sabb Kuch
Ajeeb Lagta Tha Abb Kuch Kuch
Gajab Ki Duvidha Mann Mein Aayee
Socha Mann Ne, Main Kisski Apni ... 
... Kisski Parayee

Kaha Kissi Ne...
Ghar Kahin Aur Tha Apna
Fir Wo Bann Gaya Mera Sapna
Har Pal Naye Khwaab The Bunati
Jiske Baare Mein Main Sab Se Sunati

Ghar Ladaki Ka Sasural Hai Hota
Sochta Dil Aur Sapane Pirota
Ab To Aas Thi Ek Hi Mann Mein
Aayega Sapno Ka Saudagar Milane

Bekarar Tha Mann Sapno Ko Lekar
Ghar Hota Hai Apno Ko Lekar

Apne Ghar Ka Waqt Tha Aaya
Pehla Ghar Ab Bana Paraya
Armano Ko Khub Sajaya
Khushi Ko Apni Sabko Dikhaya

Pyar Se Pyara Patti Humara
Socha Abb Se Wahi Sahara
Jina Marna Saath Unhi Ke
Dur Na Rahna Tha Ek Pal Gawara

Pyar Mein Uske Sabko Bhulaya
Apna Paraya Yaad Na Aaya
Dard Bhi Har Ek Lagta Dua Tha
Taza Taza Ishq Hua Tha

Bahein Uski Tapta Kundan
Chukar Mujhe Kar Deti Chandan
Karam Ka Koi Bhay Na Raha Tha
Pyaar Mein Uske Sabb Dhuaan Tha

Ishq Mein Uske Ajab Sukun Tha
Dil Ko Bass Uska Hi Junoon Tha

Gul Khilane Ka Waqt Jabb Aaya
Pall He Mein Sab hua Paraya
Jise Tha Mana Maine Apna
Waapis Ban Gaya Wo Ek Sapana

Beech Majhdaar Usane Tha Choda
Aisa Mujhko Waqt Ne Toda

Do Jisam Ek Jaan Banne The
Uss Rishate Mein Kuch Aan Khade The
Jisaki Aas Pe Sab Ko Tha Choda
Tanha Chod Usane Mukh Moda

Fir Ek Baar Main Hui Parayee
Socha Abb Main Kahan Aaye
Kya Hai Khawab Kya Sachai
Sach Mein Preet Ne Preet Gawai.

                                                                                                                                        © Impressions

No comments:

Post a Comment