Friday 24 January 2014

Beti Humari Parchai Tumhari



Kya Kahoon Parchai Hai Teri
God Mein Jo Beti Hai Meri

Chehra Iska Tujhsa Hai Deekhta
Kaise Khuda Kissis Ko Hai Likhta

Aankhein Ghumakar Honth Dabana
Yaad Dilaye tera Har Fasana

Bahon Mein Jab Tum Isse Apni Loge
Miloge Pita Se....
... Saatvein Aasman Par Hoge

Kahoge God Mein Le Isse Jab Beti
Dhadkane Bhi Tumhari...
... Tumhe Sunai Degi

Tumhare Jaise Aawaz Hai Deti 
Kuch Aisi Hai Humari Beti

Ashru Dhara Aankh Se Bahegi
Pita Prem Ki Wo Kahani Kahegi

Mantra Mugdh Uski Har Harkat Karegi
Khushiyon Se Beti Jeewan Bharegi

Nanhe Haath Jab Tumko Pakadenge
Pitritav Mein Ye Tumko Jakadenge

Haath Fir Iska Kaise Chodoge
Apna Moh Iss-sse Kaise Todoge

Pehali Baar Jab Tumhaare Paas Hasegi
Tasvir Tumhari aankhon Mein Bassegi

Haroz Ye Kuch Naya Kar Rahi Hai
Waqt Ke Saath Ye bhi Badh Rahee Hai

Har Harkat Par Tum Isski Hasoge
Dekhna Aise Tum Pita Moh Mein Fassoge

Abb Kyun Jeewan Mein Udassi Hai Chaai
Chinta Gamman Karne Ko Beti Hai aayee

Aise Nahi Beti Rabb Ne Banai
Ye To Hai Humari Parchai

Saachi Jab Kyra Se Milega
Dekhna Chupke Se Aankhein Bharega

Pyar Hai Kitna Dil Mein Tumhare
Bayan Karenge Har Lafaz Mithe Pyaare

Chahe Main Tumko Samajh Naa Paaun
Aaj Ek Baat Tumko Bataaun

Beti Tumhara Mann Padhegi
Har Kshann Tuhaare Saath Khadegi

Maa Se Jyada Tumh Mein Ramegi
Itni Iski Tumhari Banegi.

© Impressions

No comments:

Post a Comment