Friday 24 January 2014

ye hawa ye fiza aur tumhara sath...

 

ye hawa ye fiza aur tumhara sath...

ye bahar ye gulshan aur hum dono ki suhani raat...

 

ye badalo ka chhana yun barish ka aana...

iss mausam mein sabse gazab hai tera muskurana...

ye tumhari kamsin jawani hamari tumhari kahani...

ek hona hamara sab ko batayenge apni jubani...

 

 

ye kaliya ye phool ye suraj ka chamakna...

kudrat ki banawat hai tumhara u foolon sa mehakna...

 

 

ye hare bhare se khet kheto mein peeli sarso...

kuchh roz pahle mile the magar lagta hai jaise hogaye hai barso...

 

 

tumhare bina jeene ki soch jaise bin pani ke machhli...

tum bina main aise jaise foolon ke bina titli...

 

 

tu paristan ki pari hai aur jannat ki hoor...

khuda ka wasta hai kabhi jana na mujhse door......

 

 

 

 

No comments:

Post a Comment