Wednesday 22 January 2014

Tum to mere sang ho nahi....

 

 

Tum to mere sang ho nahi....

isiliye aaj main tumhari yado se baate kar raha hu....

 

 

kasak dil ki mitaye kahan mit rahi hai....

aaj apne takiye ko bar bar baho mein bhar raha hu....

 

tumhara khayal aate hi lab muskura rahe hai....

aaine k saamne jake bewajah hi sanwar raha hu.....

 

tumhari agosh ki garmi mehsus hoti hai jis pal....

usi pal apne bistar pe main toot k bikhar raha hu....

 

jane ye kaisa lamha hai jo itna bechain kar raha hai....

dil mein umadte inn ehsaso se main kuch kuch darr raha hu....

 

janta nahi tha tumhari mohabbat itna diwana bana degi mujhe....

bebasi ke iss haal mein doob ke khud hi ubhar raha hu.....

 

meri jaan tum to mere sang ho nahi.....

isiliye aaj main tumhari yado se baate kar raha hu.........

 

No comments:

Post a Comment