Thursday, 27 February 2014

Dooriyon Ke Saaye Mein Kabhi Paltti Nahi Mohabbat...

Dooriyon Ke Saaye Mein Kabhi Paltti Nahi Mohabbat...

Haathon Mein Haath Ho To Lakeerein Mil Hi Jaati Hain....

 

Tera Mujh Par Bas Itnaa Sa Ek Ehsaan Rahe...

Jab bhi Dekhun Tujhe, Tere Chehre Par Muskaan Rahe....

 

Tujhe Koi Gham Kabhi Chuu Bhi Naa Sake..

Tu Chalti Rahe, Har Raah Tere liye Asaan Rahe....

 

Milli Jab Tum se Nazar, Bas Gaya Ek Jahaan...

Aankhein Keh Uthi, Umar Bhar Qaid Yeh Mehmaan Rahe....

 

Woh Dilkash Si Adayein, Woh Madhosh Si Aankhein....

Tujhse Milne Ko, Dil Mein Na Jane Kitne Armaan Rahe....

 

Inn Faaslo Mein Ishq Ko Nibhaa Paana Bhi Asaan Nahi...

Haaye Re Mohabbat.. Bebas Kyun Iss Mein Insaan Rahe....

 

Mile Teri Zulf Ki Chaayon Mujhko, Aisi Bhi Koi Raat Ho...

Yuh Mujh Se Mil Ke Ab Hum, Do Jism Ek Jaan Rahe...

 

Meri Yeh Dua Hai Ke Teri Har Dua Qubool Ho...

Khuda Tujh Par Har Kadam Har Raah Meharbaan Rahe.....

Wednesday, 26 February 2014

To my daughter Kyra

I love you,

Do you know what that means?

Do you know,

Only God will take that away?

Do you know,

I'll always be by your side,

Protecting you from others,

And even when you slide?

I scold you.

Pick on you,

More than you like

But, it's because I love you.

You'll hear a lot of things,

From friends and family,

About how I raise you,

Remember, I'm your daddy.

My job,

Is more than being your friend.

It's ensuring you do the right thing,

Even in the face of adversity.

You carry part of me

Within you.

I carry part of you,

Within me.

We are intertwined

Beyond the name we share.

Bonded by heavenly favor,

This world can never touch.

I love you,

Do you know what that means?

It means through thick and thin,

I'll always be by your side.

mujhe aaj bhi yaad hai...

 

Meri zindgi ka qissa purana mujhe aaj bhi yaad hai...

tera pyar se dekh muskrana mujhe aaj bhi yaad hai....

 

teri masoom baton mein kho jana mujhe aaj bhi yaad hai....

pyar se meri bahon mein simat jana mujhe aaj bhi yaad hai....

 

pyar mein tera kasme wade kar jana mujhe aaj bhi yaad hai....

mere bina tera ek pal na reh pana mujhe aaj bhi yaad hai....

 

tera chhup chhupk aansu bahana mujhe aaj bhi yaad hai....

maa baap ki khatir dil ko samjhana mujhe aaj bhi yaad hai....

 

mere ashq dekh tere dil ka tdap jana mujhe aaj bi yaad hai....

tera muh pher kar der tk aansu bahana mujhe aaj bhi yaad hai....

 

kaise bhul sakta hoon main tera itni shiddat se chahna....

kaise bhul sakta hoon wo teri majburiyon ka afsana....

 

maa baap ki khatir mujhe chhod jana mujhe aaj bhi yaad hai....

phir bhi mujhe dil se chahte jana mujhe aaj bhi yaad hai.........

Tuesday, 25 February 2014

Aansuon Se Koi To Gehra Nata Hai



Aansuon Se Koi To Gehra Naata Hai
Chodd Jaaye Saat Jab Har Koi....
... Ye JaroorSaath Nikbhata Hai

Dekhate Aaye Hain Har Raat Ke Baad Din...
Raah Taakte Hai Kab Tu Khushi Ka Tohfa Laata Hai

Aansu Gar Na Hotte Hum To Kho Jaate....
Itne Tanha Sada Ke Liye So Jaate

Suna Hai Aansu Hai Anmol...
Dekhate Hain Kya Hai Mere aansuon Ka Mol

---

© Impressions

Kuch Aise Tu



Kuch Aise Tu Mujhse Berukhi Nibha
Ki Hume Chir Neendra Mein Sulaa

Dil Leja Tu Mujhse 
Ya Usse Pathar Ka Bana

--
© Impressions

Monday, 24 February 2014

Haal Main Kisnu Kehwaan



Jaande Nahi Mere Din
Tere Bin, Tere Bin

Raat nu Kaleyaan Behwaan
Haal Main Kisnu Kehwaan

Samjhe Mere Dil Nu Tuhiyon 
Aakhe Na Samjha Main Uhiyon

Dass Kiven Jivaa Hun
Tere Bin, Tere Bin

Jaande Nahi Mere Din
Tere Bin, Tere Bin

Akhaan Tere Deed Nu Tarsan
Hanjhu Waang Megh Barsan

Dekh Main Dekhaa Rasta Tera
Tere Bin Hor Kaun Hai Mera

Waseya Dil Vich Chehra Tera
Tuhiyon Mera, Tuhiyon Mera

Chaahe Tu mainu Kaafir Kehna
Par Main Tere Wwajhon Nahi Rehana...

--

© Impressions

Saturday, 22 February 2014

Dua Mana Hai



Tere Pyar Ko Maine Dua Mana Hai
Tujhko He Duniya Ki Bheed Mein Apna Jana Hai

Kehte Hain Bahut Asar Hota Hai Dua Mein
Jaise Garam Dhup saradi Ki Subah Mein

Har Sapna Tere Sang He Dekha Hai
Tu He Mere Bhagya Ki Rekha Hai

Manga Hai Dua Mein Tujhko Rabb Se
Baithi Hun Taak Mein Qubool Ho.. Kabb Se

Samajh Nahi Aati Pyar Ko Mere
Hum To Sirf Kadardaan Hai Tere..

Ek Teri Awaaz Ke Aagaz Mein Baithe Rehate Hai 
Tujhse Humko Mahobbat Ye Hum Kehate Hai

Dil Ki Awaaj Teri Mujh Tak Aati Hai
Tere Har Paigam Ko Suna Jaati Hai

Mere Ashk Jo Bahein Uska Mujhe Gamm Nahi
Duri Tujhse Ka Gam Ashakon Se Kamm Nahi...

Kaise Samjhaun Ki Tumse Kitni Mahobbat Hai
Har Saans Meri Tere Pyar Mein Doobi...
... Bass Iss Se He Mujhko Raahat Hai

--

© Impressions

rab se dua mangi...

Girte huye dekha jab aasmaan ke kisi sitare ko...

hamesha maine tere liye hi us rab se dua mangi...

 

chalakte huye dekha jab maine tere aansuyon ko...

hamesha apne liye kuch us rab se saja mangi...

 

kyunki teri har ek hansi ke peeche chupi hai meri bhi khushi...

tu khush hai to mei khush hun tu hi to hai meri zindagi...

 

saans meri tootene ko ho aye mere khuda jab kabhi...

to bas uski baahon mei tod dena meri sanson ki har ek ladi........

Wednesday, 19 February 2014

Sadayein Kya Sunati Rehati Hai


Sadayein kya Sunati rehati hai
Jaise koi dhun gungunati rehati hai

zindagi apni raftar se hai chalti
Par hawayon ki meethas kahan hai dhalati

Koyal ki Aawaz bhi mishri jaisi hai
lehrati fasalein aaj bhi puchein tu kaisi hai

Dub ki ghas aaj bhi gudgudata hai panw ko
tadap uthta hai mann dekh kissi pedh ki thandhi chanw ko

Dhalta suraj laali beekher jata hai
Bina Chaaye ki chuskiyon ke ..
..baarish me aanand kahan aata hai

Titaliya fullon pe jo mandraati hai
Yaad Bachpan ke rango ki deelati hai

Hawa mein fulon ki jaise khushbu ghooli hai
taza Ons ki boonde dhoop mein dhuli hain

dekh aaj bhi maina baag mein hai aaye
sang jaise geet khushiyon ka hai laayee

Natkhat uchalati Kudati Gelehari
Baat Jeewan ki chanchalta ki keh rahee

Paak hai bacha paak uska bachpan
dono ka saath aisa jaise dil or dhadkan

Badlon mein kahin tasveerein chupi hain
Bachpan ko jeete hue ...
... Jaise Dhadkan Ruki hai.


--

© Impressions

Tuesday, 18 February 2014

Ajj Aakhan Waris Shah Nuu



Ajj Aakhan Waris Shah Nuu,
Kiton Qabraan Wichon Bol,
Tey Ajj Kitaab-e-Ishq Daa,
Koi Agla Warka Phol

Today, I call Waris Shah,
“Speak from inside your grave”
And turn, today,
the book of love’s next affectionate page

-

Ikk Royi Sii Dhi Punjab Di,
Tu Likh Likh Maarey Wain,
Ajj Lakhaan Dhiyan Rondiyan,
Tenu Waris Shah Nuu Kain

Once, one daughter of Punjab cried;
you wrote a wailing saga
Today, a million daughters,
cry to you, Waris Shah

-

Uthh Dard-Mandaan Diya Dardiya,
Utth Tak Apna Punjab
Ajj Bailey Lashaan Bichiyaan
Tey Lahoo Di Bhari Chenab

Rise! O’ narrator of the grieving;
rise! look at your Punjab
Today, fields are lined with corpses,
and blood fills the Chenab

-

Kisey Ne Panjaan Paaniyan Wich
Diti Zahar Rala,
Tey Unhan Paniyaan Dharat Nuu
Dita Paani Laa

Someone has mixed poison
in the five rivers’ flow
Their deadly water is, now,
irrigating our lands galore

-

Iss Zarkhaiz Zameen Dey
Loon Loon Phuttiya Zahar
Gitth Gitth Charhiyaan Laaliyan
Fuut Fuut Charrhiya Kaher

This fertile land is sprouting,
venom from every pore
The sky is turning red
from endless cries of gore

-

Wey Waleesi Wha Phair,
Wan Wan Wagi Jaa,
Ohney Har Ikk Waans Di
Wanjli Diti Naag Bana

The toxic forest wind,
screams from inside its wake
Turning each flute’s bamboo-shoot,
into a deadly snake

-

Pehla Dang Madaariyan,
Mantar Gaye Guwaach,
Doojey Dang Di Lag Gayi,
Janey Khaney Nuu Lag

With the first snake-bite;
charmers lost their spell
The second bite turned all and sundry,
into snakes, as well

-

Laagaan Keeley Lok Moonh,
Bas Phir Dang Hi Dang,
Palo Palee Punjab Dey,
Neeley Pay Gaye Ang

Drinking from this deadly stream,
filling the land with bane
Slowly, Punjab’s limbs have turned black
and blue, with pain

-

Galeyon Tutey Geet Phir,
Takaleyon Tuti Tand,
Trinjanon Tutiyaan Saheliyan,
Charakhrrey Ghuukar Band

The street-songs have been silenced;
cotton threads are snapped
Girls have left their playgroups;
the spinning wheels are cracked

-

Saney Saij Dey Beriyan,
Luddan Ditiyaan Rohrr,
Saney Daliyan Peengh Ajj,
Piplaan Diti Torr

Our wedding beds are boats,
their logs have cast away
Our hanging swing,
the Pipal tree has broken in disarray

-

Jithey Wajdi Si Phook Pyar Di,
Wey Oh Wanjhli Gayi Guwaach
Raanjhey Dey Sab Weer Ajj,
Bhul Gaye Ohdi Jaach

Lost is the flute, which once,
blew sounds of the heart
Ranjha’s brothers, today,
no longer know this art

-

Dharti Tey Lahoo Warsiya,
Qabraan Paiyan Chon,
Preet Diyan Shahzadiyan,
Ajj Wich Mazaaraan Ron

Blood rained on our shrines;
drenching them to the core
Damsels of amour, today,
sit crying at their door

-

Ajj Sabhey ‘Qaido’ Ban Gaye,
Husn Ishq Dey Chor
Ajj Kithon Liyaiye Labh Ke
Waris Shah Ikk Hor

Today everyone is, ‘Qaido’
thieves of beauty and ardor
Where can we find, today,
another Warish Shah, once more

-

Ajj Aakhan Waris Shah Nuu,
Kiton Qabraan WichoN Bol,
Tey Ajj Kitaab-e-Ishq Da,
Koi Agla Warka Phol

Today, I call Waris Shah,
“Speak from inside your grave”
And turn, today,
the book of love’s next affectionate page

-
by: Amrita Pritam

Ishq Ishq ne Kitne Loote



Zindagi Bhi Kya Din Deekhati Hai
Pathrile Raston Par Tanha Chodd Jaati Hai...

Laakh Dua Khushiyon Ki Mango
Ek Khushi Ke Peeche Dus Gham Nazar Kar Jaati Hai...

Ishq-Ishq ne Kitne Loote
Mahobbat Kahan Kissi Ko Raas Aati Hai...

Peeche Nazar Jo Daudaai Zindagi Par
Garam Reth or Gham-e-Sailaab Nazar Aate Hai...


--
© Impressions

Tu Meri Mahobbat Ka Khyal Rakhna..........

 

Aye Mahobbat Tu Meri Mahobbat Ka Khyal Rakhna...

Me Rahu Na Rahu Tu Use Sambhal Rakhna....

 

Bahut Nadan Hai Wo Meri Jaan - Ae - Wafa...

Tu Uski Hasi Ko Hamesa Bar-karar Rakhna....

 

Na Gire Aansu Ki Ek Bund Bhi Uski Aankho Se...

Tu Motiyo Ki Tarah Uske Aansu Ko Sambhal Rakhna....

 

Jab Bhi Wo Roye Meri Yaad Mein To Usse Itna Kehna...

Ki Me Laut Aaunga Bas Mujhpe Thoda Aitbaar Rakhna.....

 

Aur Jab Tak Me Laut Na Aau Tab Tak Aye Mahobbat...

Tu Meri Mahobbat Ka Khyal Rakhna..........

Monday, 17 February 2014

Chalo Yoon Kar Lein




Apna gham le k kahin aur na jaaya jaye,
Ghar mein bikhri huyee cheezon ko sajaya jaye

Jin chiragon ko hawaon ka koi khauf nahin,
Un chiragon ko hawaon se bachaya jaye

humsafar koi to ho waqt ke veerane main
sooni aankhon main koi khwab sajaya jae

Roshni ki hifazat bhi hai ibadat ki tarah
bujhte suraj se charaghon ko jalaya jae

Gham akela ho to saanson ko satata hai boht
dard ko dard ka hamdard banaya jae

Baag mein jaane k bhi adab hua karte hain,
Kisi titlee ko na phoolon se udaya jaye

Ghar se Masjid hai bahut door chalo yoon kar lein,
Kisi rote huye bachhe ko hansaya jaye...

Zindagi se Koi


Zindagi Se Koi Dushmani Nahi Meri.

Aik Zid Hai Ke Bas Tere Bina Nahi Jeena.

...

Khuda Ne Sabar Karne Ki Muje Tofeeq Bakhshi Hai..

Ary Jee Bhar Ke Tarpao Shikayat Kon Karta Hai..

...


Kis Ko Chahain Gay
Hum Tere Siwaa....

Kon Hai Tujh Sa
DooSra Khud Soch...!!

...

Sunday, 16 February 2014

Hai tumse mohabbat meri...

English & Hindi remix

 

 

Hai tumse mohabbat meri, hai tumse chahat meri....

kaise batlaaun tujhko ki mujhko kitni hai jarurat teri....

 

Hai you se mujhko pyar so much wala....

hai tu meri gori Radha, hun main tera Krishna kala....

 

Zustzooo bhi tujhse, deewangi bhi tujhse....

saanse chale tere nam se, hai zindagi ka har lamha tujhse....

 

Now you ko mujh par ab har pal mohabbate lutana....

Hamesha me ke kareeb rahna na me se kabhi you door jaana......

Ussne Kaha


Ussne Kaha Mujhse Har Khwaab Sajaunga...
Teri Aankhon Se Aansu Churaaunga...

Sitaron Ke Niche Bichona Bichaunga...
Lekar Tujhe Bahon Mein Dhadkan Mai Sunaunga...

Pya Kya Hota Hai Tujhko Mai Bataunga...
Jeewan Ki Raah Par Tera Saath Nibhaunga...

Khushiyann Lekar Ke Tere Pass Mai Aaunga...
Tere Liye Mai Pyar Ka Megh Barsaunga...

Sanso Mein Teri Mai Kuch Yun Ghool Jaunga...
Tere Aankhon Me Pyar Ki Lau Mai Jagaunga...

--
© Impressions

Saturday, 15 February 2014

Ek Wajah


एक वजह ढूंढते हैं 
तन्हा जीये जाने कि

एक वजह ढूंढते हैं 
सपने बसाने कि 

एक वजह ढूंढते हैं 
तुझे याद ना आने कि 

एक वजह ढूंढते हैं 
ज़िन्दग़ी के तडपाने कि 

एक वजह ढूंढते हैं 
महौब्बत ना  पाने कि 

एक वजह ढूंढते हैं 
तुजसे आँख चुराने कि 

Matt Sona



Mat Sona Kisi Ke Kandhe Par Sar Rakh Kar,
Kyon k Jab Wo Bichharta Hai Toh Phir Makhmal ke Takiye Par Bhi Neend Nahin Aati 
...
Kaisa waqt hai use fursat e nae mujhe yaad karny ki,
Warna wo aur me kabhi ek he sans se jiya karty thy.. 
...

Teri Khushbu



Dil Ke Khaali Pann Se
Mann Ke Bhaari Pann Se
Ik Aawaz Aati Hai...

Tanhaiyon Mein
Tanha Rehane Ka
Sabab Seekhaati Hai...

Mann Sochta Rehta Hai
Dil puchta Rehta Hai
Aawaz ye Kaisi Hai..
..Jo Rooh Sunati Hai..

Hum Jaagate Rehate Hain
Duniya So Jaati Hai
Mujhko Meri Dhadkan..
.. Tere Geet Sunati Hai..

Main Dhundati Rehati hun
Kaisa Ye Bandhan Hai
Kis Dor Se Mujhko Ye..
.. Tere Pass Laati Hai..

Jo Mehsoos Kar Leti Hun
Jis Pal Ko Main Jeeti Hun
Wo Teri Mahobbat Hai..

Dur Hokar bhi Tere Pyar Ke sadake
Main Tanha Na Jee Leti hun
.. Teri Ore Se Aati Hawaon Se..
.. Teri Khushbu Pee Leti Hun..

--

© Impressions

Friday, 14 February 2014

Teri Har Saans Se Mujhko Ishq Hua...



Mahobbat meri ka jara junoon dekho
Aise Mausam meine.... Mujhe Ishq hai Kyun

Kyun Nafrat Pe Padd Rahi Mahobbat Bhari
Rooth Kar Bhi Uss-Se  Ussi Pe Dil Haari

Ishq Ki Fiza se Wo Parre Hai Rehta..
Dil Mera Mujhsko Bass Ussiki Baat Kehta

Dil Ko Abb Gamm Raass Nahi Aataa..
Kyun Mahobbat Ka saagar Samajh Nahi Pata

Nahin Manta Dil Tu Hai Aisa bhi..
Rahega Tu Mera Chahe Ho Jaisa Bhi

Ek Tu Tha, Ek Tu Hai, Ek Tu Rahega...
Pyar Ki Hee Baat Ek Din Tu Kahega

Kaise Maanlu Tujhko Hai Mujhse Gila...
Bahut Jana Tujhko... Raah-e-Ishq Pe Tu Mila

Itna Kaafir Nahi Ishq Mera...
Noor Jaisa Hai Iska Chehra

Zindagi Meri Tune Ishq Se Jo Bhardi...
Badle Mein maine... Tere Naam Mahobbat Apni Kardi

Tujhko meri Rooh Ne Jo Chua..
Teri Har Saans Se Mujhko Ishq hua

Beet Gaya, Beet Raha, Beet Jaayega...
Yakeen Hai Mahobbat Ka Pal Aayega

Jhoothe Ishq-e-Hayaat Doobe Aksar...
Jina Pyaar Mein Hee Rooh Meri Ka Maksad

Mahobbat Ko Meri Taul Gaya Tu...
Matt Soch, Fir Bhi Mujhe Hai Ishq Kyun

Mahobbat Aur Nafrat Ikkathe Nahi Hotte...
Rooh-e-nashin Kabhi Tanha Nahi Sotte

Dekhate Hain Kaise Nazar-e-Mahobbat Uthegi..
Sadda Rahega Ishq .. Pehale Zindagi Roothegi

--

© Impressions

Kya Haal Hai Kabhi Pucho Apne Deewane Se....

 

Kya Haal Hai Kabhi Pucho Apne Deewane Se....

Hum To Jeete Hai Faqat Tere Muskuraane Se....

 

Meri Duniya To Muntazir Hai Sirf Aapki...

Khil Uthta Hai Chehra Tere Kareeb Aane Se....

 

Main Nahi Jaanta Par Yeh Log kehte HaiN....

Main Main Nahi Rehta, Tere Door Jaane Se....

 

Mujh Mein Tujh Mein Waise To Koi Fark Nahi...

Ek Dil Do Jism Hain Hum Kayi Zamaane Se....

 

Aapki Aankhoi Mein Aansuu Kabhi Naa Aayenge...

Humne Seekha Hai Ishq Farmaana Parwaane Se....

 

Tere Gham-Mere Gham, Meri Khushi-Teri Khushi....

Pyaar Khatam Nahi Hota Waqt Ke Guzar Jaane Se......

 

Ishq Kiya Hai To Nibhaana Bhi Seekho Yaro'n....

Phool Bhi Mar Jaate Hain Ek Baar Murjhaane Se......

 

 

Thursday, 13 February 2014

Hami Asto... Hami Asto....



“Agar Firdous Baroy-i zameen ast,
Hami asto, hami asto, hami asto”

The famous Mughal emperor Jehangir uttered these words when he visited Kashmir. It means that ‘if there is paradise on earth, it’s here, it’s here, it’s here’. Obviously its beauty would have mesmerized him.

Aankhon Mein Jo Basse Wo Mahobbat



Hathon mein to Daulat Basti Hai...
Aankhon mein jo Basse Wo Mahobbat...

Firdoss Ko Khojane Wale Sun...
Pyar Bhare Dil Jahan Wo Jannat...

Jall-Jalle to har jagah hai...
Mille jo Khuda se Wo Raahat...

Kohinoor se kimati Ishq-e-rooh...
Jo Molle Kissi Ko Wo Ehmakh...

Bin Ishq Ghume.. Goom Jaye Raah Me...
Jo Nawaze Ishq Se... Wo Khuda Ki Rehmat...

Mohobbat Ke Farolle Puraane Panne...
Kalma Ishq Banaye Apna.. Karde Sehmat...

Fullon Ki Khusbu Si Karde Zindagi...
Baantane Ki Mahobbat Uthaale Jehmat.

© Impressions

Wednesday, 12 February 2014

JAAN KE BHI YE JANA


" JAAN KE BHI YE JANA
KI NAHI JAAN SAKE"

KIS SE PATA PUCHE TERA MANJIL-E-JANA
JISKO KHABAR THI TERI VO BE-KHABAR MILA......."

--

"TU KARTA VO HAI JO TU CHAHATA HAI 
 PAR HOTA VO HAI JO MEIN CHAHATA HOON,
 TU KAR VO JO MEIN CHAHATA HOON 
 FIR HOGA VO JO TU CHAHATA HAI"

--

"BIGARTE KINARO KO SAVARTE KISNE DEKHA HAI
BINA AASMAN SE BARASTE BAADLON KO KISNE DEKHA HAI
ISHQ JAB CHADTA HAI UTTAR TE KISNE DEKHA HAI"

--

"HUSAN KE BANDE WAFFA BECH DETE HAI
KHUSA KE GHAR KI KYA KAHUYE KHUDA KO BECH DETE HAI"

--

Jitni Hai Doori Is Zameen Se Us Aasmaan Tak...

Jitni Hai Doori Is Zameen Se Us Aasmaan Tak...

Karte Hai Yaad Tujhe Utna Chand Ke Jahaan Tak...

 

Hai Mohabbat Tum Se Kitni Aa Kar Kabhi Dekh Lo...

Na Milegi Aaisi Misaal Tumhe Is Jameen Se Lekar Paristaan Tak...

 

Har Pal Tujh Ko Sochoon, Tujhe Hi Chahoon Main...

Ho Base Tum, Pehli Khwaish Se Akhri Aarmaan Tak...

 

Tere Hone Se Main Hoon, Tere Bin Kuch Bhi Nahi...

Hai Rishta Jaise Teri Zindagi Ka Meri Jaan Tak...

 

Teri Saanson Ki Garmi Ka Mere Labon Ki Narmi Se...

Rahe Yeh Silsila Aakhri Saans Ki Pehchaan Tak......

 

 

 

Tuesday, 11 February 2014

Suna Hai



Insaan naqaab odh leta hai
sach kisse dikhai deta hai

De ta hai har jagah dhokha
Fir teri Duahaai deta hai

Gum to chehron pe aam miljaaye 
muskaan najaane kahan chupa leta hai

suna hai khwaab khoobsurat hai hote
apni dukaan mein bol kya mol deta hai

Pariyon ki kahani jo suni hai maine
Kya sach mein tu sunehare pankh unhe deta hai

Jeewan ka ant nahi hai aasaan
Bata kaise tu saans cheen leta hai

Kehate hain bahut he kamm tere azeez hai hote
Chahe khode sabh par tujh ko nahi khote

tere pyar ka hisaab nahi manga
ek wahi to mool vihin hota hai

Bol na maula tu har pal hai kareeb
fir kyun mann tere vilaap mein rota hai

Haath tera sabse aage hai milta 
fir bhi kyun dil ko tujhse gila hai


© Impressions

Wo Kehti Hai.....

 

Rote Hue Tum Kabhi Mujhe Pa Na Sakoge...

Tum Mere To Ho Par Afsos Kabh Apna Na Sakoge...

 

Mein Tumhari Hu Ye Such To Meri Ruh Tak Jane....

Par Afsos Is Ruh Me Tum Kabhi Sama Na Sakoge...

 

Ha Mein Tumse Bas Tumse Mahobbat Karti Rahungi...

Par Afsos Chahat Mein Tum Kabhi Mujhe Chah Na Sakoge...

 

Meri Ibadat Ke Har Lamhe Mein Bas Tum He Tum Ho...

Par Afsos Tum Mujhe Apni Dua Kabhi Bana Na Sakoge...

 

 

Mene Kaha Aye Dil Nashee.....

Ye Jo Aansu Aankho Se Tumhari Beh Rahe He..

Roklo...

Warna Hisaab In Aansuo Ka Tum Chukaa Na Sakoge...

 

Laut Jaunga Tumhari Dunia Se Hasi Khusi Par Yaad Rakhna...

Tum Chah Kar Bhi Meri Yaado Ko Kabhi Bhula Na Sakoge...

 

Karlo Laakh Koshishe Tum Meri Tasveero Ko Jalakar...

Afsos Tum Mere Wajood Ko Kabhi Mita Na Sakoge...

 

Jao Izazat He Karlo Khud Ko Kisi Aur Ke Hawale...

Par Yaad Rakhna Meri Jaan..

Kayenaat Mein Koi Aur Mujsa Tumhe pyar Karne Wala Tum Kabhi Pa Na Sakoge.....

 

Monday, 10 February 2014

Ae Chaand tu Jaldi aana


khilono ko dekh kitna hai hasti
Jaise inme jaan hai basti..

Labon ko apne yun hilaaye
Jaise Inko ye bulaye..

saare rang isko suhaate
jaise isko ho lubhaate...

har aawaz lagti isko pyaari
kheel-kheelahat par jaau mai waari...

Ae chaand tu jaldi aana 
Meri beti ke sapne laana...

Suraj iska naam hai tu
rang iske me teri roshani lu..

dekh kitni hai bholi surat
jaise ho ye pyar ki moorat..

ankhon ke ye tim tim taare 
aasman ke jaise sitaare...


© Impressions

Khwab Kabhi Khwab Na Rahega....

 

Teri Aankho Se Dekha Khwab Kabhi Khwab Na Rahega....

Tujhe Milne Wali Khusiyo Ka Koi Hisaab Na Rahega....

 

Is Kadar Mahobbat Se Nehla Dunga Me Tujhko....

Ki Tujhe Gam Hota Kya Hai Uska Ehsas Na Rahega....

 

Shaksiyat Nahi In Lafzo Me Itni Ki Ye Zajbat Bayan Kare....

Teri Justaju Me Na Likha Ho Aisa Koi Alfaaz Na Rahega....

 

Sochta Hun tutkar Kis Jahan Mein Girenge Sitaare Us Raat....

Jab Tere Dilnashee Chehre Par Ye Naqaab Na Rahega....

 

Tittar Bittar Ho Jayegi Aasman Ki Pariya Bhi Us Din....

Kyuki Sabse Haseen Hone Ka Unke Pass Khitab Na Rahega....

 

Bahut Naaz Hai Is Kismat Ko Khud Par Ki Tu Aaj Meri Nahi Hai....

Par Kasam Is Mahobbat Ki Ek Din Uska Ye Ruaab Na Rahega......

Saturday, 8 February 2014

Jaan Hai



Ho sake to Hamare Liye Lamhe Chunana
Meri Rooh Se Aa Rahee Aawaaz Ko Sunana

Pass Tumhare Rehate Hai Hardam
Fir Bhi Dekh Chaaya Hai Gamm

Hum Or Waqt Khona Nahi Chaahate
Ab Sukun Ke Lamhe Nahi Suhaate

Guzare Hue Kimati Lamhe 
Kabhi Laut Kar Nahi Aate

Waqt Tanha Kare To Baat Kuch Alag
Khud Tanhaai Chunane Ka Kya Sabab

Waqt Sabko Mauka Deta Hai
Nahi To Dhoka Deta Hai

Meri Zindagi ka Mijaaz Dekh
Tu Kal Bhi Khwaab Tha ..
Tu Aaj Bhi Khwaab Hai...

Kal Tu Anjaan Tha
Aaj Tu Jaan Hai....

Kudrat Kya Tera Hisaab Hai
Ajeeb Itefaaq Hai...

Khuda Se Kyun Geela Karen
Jaan Tu To Jaan Kar Anjaan Hai

Dekh Mera Pyar Kitna Mahaan Hai...
Sab Ke Liye Ye Kurbaan Hai

Khud Se He Tutkar...
Nafraton Se Jujhkar...
Jall Rahi Jo Aag Hai
Wo Mere Ishq Ka Chiraag Hai..

Ashq Ka Sailaab Jo
Dua Maange Khuda Se Wo
Jo Meri Nanhi Jaan Hai...
Gumo Se Anjaan Hai..

Rehmat Uspar Barsana Khuda
Dil Humesha De Dua

Meri Zindagi Ki Parchai Se Use Mehfooz Karna
Rangon Ko Jeewan Me Kyra Ke Yun Bharna

Mere Gamo Se Beti Ko Gumnaam Rakhna
Har Shann Uska Aisa Ho ...
...Jaise Meetha Shehad Chakhna..

Mere Har Ache Sapne Se 
Allah Uski God Tu Bharna

Apne Dil Mein Rakh Kar Kyra
Khuda Mujh Par Ehsaan Tu Karna

Meri Har Khushi Uske Sadake
Kyra Ko Na Tanha Karna

Dua Meri Qubool Tu Kar Lena
Mishri se Uski Vaani Kar Dena
Mahobbat Se Jeewan Bhar Dena

Har Baar Hun Tujhse Maangti Aayee
Isko Sabse Pehale Lena

Pyar Ka Sabab Jo Seekha Hai Tujhse
Usko Mujhse Kabhi Na Lena

Har Kissi Ka Apna Yug Hai
Kissi Ki Kissi Ko Kahaan Sudh Hai

Beti ko Tum Satyugi Banana
Sachai Ke Marg Pe Lana

Mann Mere Me Jo Bacha Hai
Keh De Abhi Bhi Sacha Hai

Mujhko Khud Se Dur Na Karna
Meri Dua Qubool Tu Karna..


© Impressions

har dard ki dava ho tum...

har dard ki dava ho tum...
aaj tak jo mangi meri ek louti dua ho tum...

tumhe milne ki tamnna nahi uthati kabhi...
kyu ke jo har waqt sath rahti hai wo hawa ho tum...

kaise kahdu ke tumhari mohabbat sachi nahi...
jo heer ne ranjhe se sohni ne mahival se ki wo wafa ho tum...

tumhare bina ye zindagi mujhe mout se buri lagti hai...
to kaise na kahu mere jine ki wajah ho tum...

jiski kaid me chahta hu umar bhar qaid rahna...
meri preet wo mithi c wo pyari c saza ho tum....

Friday, 7 February 2014

Iltejaah



Kya Bandagee Ka Mauka Diya
Har Pal tere Liye Jeeya

Aaj Kuch Ruswa Thee
Baat Kissi Ne Teri Kahi

Yaad Mujhko Aagaya
Dil Ko Kuch Rula Gaya

Mann Kuch Halka Hua
Acha Hai Tunne
...Darr Apne Pe Liya Bula

Khel Tera He To Hai
Tera Likha Hai Sara Fasana

Yun Tujh Par Unglee Uthana
Hoga Teri raza Par Shakk Jatana

Mujhko Khuda Se Itefaaq Hai
Ab Koi Darr Nahi..
... Jab Dil Apna Saaf Hai

Mahobbat He Tera Paigaam Hai
Jeewan Mein Mere Ye Aam Hai

Sabko Pyar Se Nawaaz de
Dilon Ko Tu Aawaaz de

Pathar Dil Kyun Ho Rahe
Kyun Nafrat hai Bo Rahe

Khuda Tu Barsaat Kar
Zindageeyan Aabaad Kar

Qubool Karle Iltejaah
Aa Dil Ke Kareeb Aa..


© Impressions

Dekhle Tu Bhi Ek Nazar Meri Jaan...

 

Dekhle Tu Bhi Ek Nazar Meri Jaan...

Na Tujhse Apni Nigahein Hataaunga Main...

 

Abhi Na Karegi Humpe Agar Nazre Inaayat...

To Khwaabo Me Aakar Tujhe Sataaunga Main...

 

Teri Nazre Kaise Dil Pe Talwar Chala Rahi Hai...

Shayari Likh Likh Kar Sabko Ab Bataunga Main...

 

Ek Baar Tu Izaazat To De Tere Kareeb Aane Ka...

Fir Dekhna Tujhpe Kaise Mohabbat Lutaunga Main...

 

Tu Mile Ya Na Mile Meri Kismet Ki Baat Hai...

Raah-E-Ishq Me Khud Ko Jarur Aajmaunga Main...

 

Kar Diya Tujhpe Fida Ai Jaan Apna Dil...

Ke Ab Kisi Aur Se Kabhi Mohabbat Na Kar Paaunga Main.....

Thursday, 6 February 2014

Sachipreet



Hai Sachi Bin Preet Adhoori
Ab Ek Pal Or Na Sehani Doori...

Pyar Ki Ye Hee Reet Rahegi
Sachi Ki Hi Preet Rahegee...


© Impressions

ek ladki jo tanha rahti thi...

 

 

ek ladki jo tanha rahti thi...

dil ki bat kisi se na kahti thi...

 

dil me uske ajeeb c ek kashmkash thi...

wo ek uljhan ko suljhane me lagi rahti thi...

 

koi tha jis se usne bepnah pyar kiya...

uski khusi ke liye apni khushio ko var diya...

 

uske liye mohabbat sirf us ladke ka naam tha...

mar jana mohabbat me uske liye aam tha...

 

magar kismat ko ye manzoor na hua...

hogya wo dur ladki se magar ladki ka dil us se dur na hua...

 

khoyi c rahne lagi chup chap har dard sahne lagi...

uski ankho ki jo chamak thi ansuo me bahne lagi...

 

fir use koi aisa mila jo usse bepnah pyar karta tha...

kahi wo chhod na jaye use wo hamesha is baat se darta tha...

 

ladki bhi use khud se jyada chahne lagi...

use smjh hi na aa raha tha ke ye galat hai ya sahi...

 

fir se zindagi use mohabbat ke bazar me le aayi thi...

khushio ke bich uski uljhno ki badri c chhayi thi...

 

smjh na pa rahi thi ke kon sacha pyar hai...

jo chhod gya use ya jo har zakham uthane ko uske liye taiyar hai...

 

pahli mohabbat ko wo yaad rakhe ke bhula de use...

khud naraz rahe zindagi se bhi aur apna jwab de kar rula de use...

 

kya aap de sakte jwab uske swalat ko...

kya aap smjh sakte hai us ladki ke jazbaat ko......