Monday 3 February 2014

Jaan Tanha


chaand tanha hai aasman tanha
dil mila hai kahaan kahaan tanha

bujh gai aas chup gaya tara
thartharata raha dhuan tanha

zindagi kya isi ko kehate hain
jism tanha hai aur jaan tanha

hamsafar koi gar miley bhi kahin
dono chalte rahe tanha tanha

jalti bujhti si raushani ke pare
simta simta sa ek makaan tanha

raah dekha karega sadiyon tak
chodd jayenge ye jahan tanha

--
Shayari by: Meena Kumari Ji

No comments:

Post a Comment