Apna gham le k kahin aur na jaaya jaye,
Ghar mein bikhri huyee cheezon ko sajaya jaye
Jin chiragon ko hawaon ka koi khauf nahin,
Un chiragon ko hawaon se bachaya jaye
humsafar koi to ho waqt ke veerane main
sooni aankhon main koi khwab sajaya jae
Roshni ki hifazat bhi hai ibadat ki tarah
bujhte suraj se charaghon ko jalaya jae
Gham akela ho to saanson ko satata hai boht
dard ko dard ka hamdard banaya jae
Baag mein jaane k bhi adab hua karte hain,
Kisi titlee ko na phoolon se udaya jaye
Ghar se Masjid hai bahut door chalo yoon kar lein,
Kisi rote huye bachhe ko hansaya jaye...
No comments:
Post a Comment