Wednesday 19 February 2014

Sadayein Kya Sunati Rehati Hai


Sadayein kya Sunati rehati hai
Jaise koi dhun gungunati rehati hai

zindagi apni raftar se hai chalti
Par hawayon ki meethas kahan hai dhalati

Koyal ki Aawaz bhi mishri jaisi hai
lehrati fasalein aaj bhi puchein tu kaisi hai

Dub ki ghas aaj bhi gudgudata hai panw ko
tadap uthta hai mann dekh kissi pedh ki thandhi chanw ko

Dhalta suraj laali beekher jata hai
Bina Chaaye ki chuskiyon ke ..
..baarish me aanand kahan aata hai

Titaliya fullon pe jo mandraati hai
Yaad Bachpan ke rango ki deelati hai

Hawa mein fulon ki jaise khushbu ghooli hai
taza Ons ki boonde dhoop mein dhuli hain

dekh aaj bhi maina baag mein hai aaye
sang jaise geet khushiyon ka hai laayee

Natkhat uchalati Kudati Gelehari
Baat Jeewan ki chanchalta ki keh rahee

Paak hai bacha paak uska bachpan
dono ka saath aisa jaise dil or dhadkan

Badlon mein kahin tasveerein chupi hain
Bachpan ko jeete hue ...
... Jaise Dhadkan Ruki hai.


--

© Impressions

No comments:

Post a Comment