Insaan naqaab odh leta hai
sach kisse dikhai deta hai
De ta hai har jagah dhokha
Fir teri Duahaai deta hai
Gum to chehron pe aam miljaaye
muskaan najaane kahan chupa leta hai
suna hai khwaab khoobsurat hai hote
apni dukaan mein bol kya mol deta hai
Pariyon ki kahani jo suni hai maine
Kya sach mein tu sunehare pankh unhe deta hai
Jeewan ka ant nahi hai aasaan
Bata kaise tu saans cheen leta hai
Kehate hain bahut he kamm tere azeez hai hote
Chahe khode sabh par tujh ko nahi khote
tere pyar ka hisaab nahi manga
ek wahi to mool vihin hota hai
Bol na maula tu har pal hai kareeb
fir kyun mann tere vilaap mein rota hai
Haath tera sabse aage hai milta
fir bhi kyun dil ko tujhse gila hai
© Impressions
No comments:
Post a Comment